Urdu John

/1 Ibtida men Kalam tha, aur Kalam Khuda ke sath tha, aur Kalam Khuda tha.
Yihi ibtida men Khuda ke sath tha.
Sari chizen us ke wasile se paida huin; aur jo kuchh paida hua hai, us men se
koi chiz bhi us ke bagair paida nahin hui.
Us men zindagi thi; aur wuh zindagi admion ka nur tha.
Aur nur tariki men chamakta hai: aur tariki ne use qubul na kiya.
Ek admi Yuhanna nam a maujud hua, jo Khuda ki taraf se bheja gaya tha.
Yih gawahi ke liye aya, ki nur ki gawahi de, taki sab us ke wasile se iman
laen.
Wuh khud to nur na tha, magar nur ki gawahi dene ko aya tha.
Haqiqi nur, jo har ek admi ko raushan karta hai, dunya men ane ko tha.
Wuh dunya men tha, aur dunya us ke wasile se paida hui, aur dunya ne use na
pahchana.
Wuh apne ghar aya, aur us ke apnon ne use qubul na kiya.
Lekin jitnon ne use qubul kiya, us ne unhen Khuda ke farzand banne ka haqq
bakhsha, ya'ni unhen jo us ke nam par iman late hain.
Wuh na khun se, na jism ki khwahish se, na insan ke irade se, balki Khuda se
paida hue.
Aur Kalam mujassam hua, aur fazl aur sachchai se ma'mur hokar hamare darmiyan
raha, aur ham ne us ka aisa jalal dekha, jaisa Bap ke iklaute ka jalal.
Yuhanna ne us ki babat gawahi di, aur pukarke kaha hai, ki Yih wuhi hai, jis
ka main ne zikr kiya, ki Jo mere ba'd ata hai wuh mujh se muqaddam thahra;
kyunki wuh mujh se pahle tha.
Kyunki us ki ma'muri men se ham sab ne paya, ya'ni fazl par fazl.
Is liye ki shari'at to Musa ki ma'rifat di gayi; magar fazl aur sachchai Yisu'
Masih ki ma'rifat pahunchi.
Khuda ko kisi ne kabhi nahin dekha; iklauta Beta, jo Bap ki god men hai, usi
ne zahir kiya.
Aur Yuhanna ki gawahi yih hai, ki jab Yahudion ne Yarushalem se kahin aur Lewi
yih puchhne ko us ke pas bheje, ki Tu kaun hai?
to us ne iqrar kiya, aur inkar na kiya, balki iqrar kiya, ki Main to Masih
nahin hun.
Unhon ne us se puchha, Phir kaun hai? Kya tu Eliyyah hai? Us ne kaha; Main
nahin hun. Kya tu wuh nabi hai? Us ne jawab diya, ki Nahin.
Pas unhon ne us se kaha; Phir tu hai kaun? taki ham apne bhejnewalon ko jawab
den. Tu apne haqq men kya kahta hai?
Us ne kaha; Main, jaisa Yasha'yah nabi ne kaha hai, biyaban men ek pukarnewale
ki awaz hun, ki Tum Khudawand ki rah ko sidha karo.
Yih Farision ki taraf se bheje gaye the.
Unhon ne us se yih suwal kiya, ki Agar tu na Masih hai, na Eliyyah, na wuh
nabi, to phir baptisma kyun deta hai?
Yuhanna ne jawab men un se kaha, ki Main pani se baptisma deta hun; tumhare
darmiyan ek shakhs khara hai, jise tum nahin jante,
ya'ni mere ba'd ka anewala, jis ki juti ka tasma main kholne ke laiq nahin.
Yih baten Yardan ke par Bait'aniyyah men waqi' huin, jahan Yuhanna baptisma
deta tha.
Dusre din us ne Yisu' ko apni taraf ate dekhkar kaha; Dekho, yih Khuda ka
Barra hai, jo dunya ka gunah utha le jata hai.
Yih wuhi hai, jis ki babat main ne kaha tha, ki Ek shakhs mere ba'd ata hai,
jo mujh se muqaddam thahra hai, kyunki wuh mujh se pahle tha.
Aur main to use pahchanta na tha; magar is liye pani se baptisma deta hua aya,
ki wuh Israil par zahir ho jae.
Aur Yuhanna ne yih gawahi di, ki Main ne Ruh ko kabutar ki tarah asman se
utarte dekha hai, aur wuh us par thahr gayi.
Aur main to use pahchanta na tha; magar jis ne mujhe pani se baptisma dene ko
bheja, usi ne mujh se kaha, ki Jis par tu Ruh ko utarte aur thahrte dekhe,
wuhi Ruhu'l Quds se baptisma denewala hai.
Chunanchi main ne dekha aur gawahi di hai, ki yih Khuda ka Beta hai.
Dusre din phir Yuhanna aur us ke shagirdon men se do shakhs khare the.
Us ne Yisu' par, jo ja raha tha, nigah karke kaha, Dekho, yih Khuda ka Barra
hai!
Wuh donon shagird us ko yih kahte sunkar Yisu' ke pichhe ho liye.
Yisu' ne phirkar aur unhen pichhe ate dekhkar un se kaha; Tum kya dhundhte ho?
Unhon ne us se kaha; Ai Rabbi, (ya'ni Ai ustad), tu kahan rahta hai?
Us ne un se kaha; Chalo, dekh loge. Pas unhon ne akar us ke rahne ki jagah
dekhi, aur us roz us ke sath rahe; aur yih daswen ghante ke qarib tha.
Un donon men se jo Yuhanna ki bat sunkar Yisu' ke pichhe ho liye the, ek
Shama'un Patras ka bhai Andriyas tha.
Us ne pahle apne sage bhai Shama'un se milkar us se kaha, ki Ham ko Khristus,
ya'ni Masih mil gaya.
Wuh se Yisu' ke pas laya: Yisu' ne us par nigah karke kaha, ki Tu Yuhanna ka
beta Shama'un hai: tu Kefa, ya'ni Patras, kahlaega.
Dusre din Yisu' ne Galil men jana chaha; aur Filippus se milkar kaha; Mere
pichhe ho le.
Filippus Andriyas aur Patras ke shahr Baitsaida ka bashinda tha.
Filippus ne Natan'el se milkar us se kaha, ki Jis ka zikr Musa ne Tauret men
aur nabion ne kiya hai, wuh ham ko mil gaya; wuh Yusuf ka beta Yisu' Nasari
hai.
Natan'el ne us se kaha; Kya Nasarat se koi achchhi chiz nikal sakti hai?
Filippus ne kaha; Chalkar dekh le.
Yisu' ne Natan'el ko apni taraf ate dekhar us ke haqq men kaha; Dekho, yih
fi'lhaqiqat Israili hai: is men makr nahin.
Natan'el ne us se kaha; Tu mujhe kahan se janta hai? Yisu' ne us ke jawab men
kaha; Is se pahle ki Filippus ne tujhe bulaya, jab tu anjir ke darakht ke
niche tha, main ne tujhe dekha.
Natan'el ne us ko jawab diya; Ai Rabbi, tu Khuda ka Beta, tu Israil ka badshah
hai.
Yisu' ne jawab men us se kaha; Main ne jo tujh se kaha, ki tujh ko anjir ke
darakht ke niche dekha, kya tu isi liye iman laya hai? Tu in se bhi bare bare
majare dekhega.
Phir us se kaha; Main tum se sach sach kahta hun, ki Tum asman ko khula hua,
aur Khuda ke firishton ko upar jate aur Ibn i A'dam par utarte dekhoge.

/2 Phir tisre din Qana e Galil men ek shadi hui; aur Yisu' ki man wahan thi:
aur Yisu' aur us ke shagirdon ki bhi us shadi men da'wat thi.
Aur jab mai ho chuki, Yisu' ki man ne us se kaha, ki Un ke pas mai nahin rahi.
Yisu' ne us se kaha; Ai 'aurat, mujhe tujh se kya kam hai? Abhi mera waqt 
nahin aya.
Us ki man ne khadimon se kaha; Jo kuchh yih tum se kahe, wuh karo.
Wahan Yahudion ki taharat ke dastur ke muwafiq patthar ke chha matke rakkhe 
the, aur un men do do, tin tin man ki gunjaish thi.
Yisu' ne un se kaha; Matkon men pani bhar do. Pas unhon ne un ko lab a lab bhar 
diya.
Phir us ne un se kaha, ki Ab nikalkar mir majlis ke pas le jao. Pas wuh le gaye.
Jab mir majlis ne wuh pani chakkha, jo mai ban gaya tha, aur na janta tha, ki 
yih kahan se ai hai, (magar khadim, jinhon ne pani nikala tha, jante the,) to 
mir majlis ne dulha ko bulakar us se kaha;
Har shakhs pahle achchhi mai pesh karta hai, aur naqis us waqt jab pikar chhak 
gaye; magar tu ne achchhi mai ab tak rakh chhori hai.
Yih pahla mu'jiza Yisu' ne Qana e Galil men dikhakar apna jalal zahir kiya, aur 
us ke shagird us par iman lae.
Is ke ba'd wuh aur us ki man aur bhai aur us ke shagird Kafarnahum ko gaye, aur 
wahan chand roz rahe.
Yahudion ki 'I'd i Fasah nazdik thi, aur Yisu' Yarushalem ko gaya.
Us ne haikal men bail aur bher aur kabutar ke bechnewalon ko, aur sarrafon ko 
baithe hue paya;
aur rassiyon ka kora banakar sab ko, ya'ni bheron aur bailon ko, haikal se nikal 
diya, aur sarrafon ke paise bikher diye, aur takhte ulat diye; 
aur kabutar faroshon se kaha; In ko yahan se le jao: mere Bap ke ghar ko tijarat 
ka ghar na banao.
Us ke shagirdon ko yad aya, ki likha hai; Tere ghar ki gairat mujhe kha jaegi.
Pas Yahudion ne jawab men us se kaha; Tu jo in kamon ko karta hai, hamen kaun sa 
nishan dikhata hai?
Yisu' ne jawab men un se kaha, ki Is maqdis ko dha do, to main use tin din men 
khara kar dunga.
Yahudion ne kaha; Chhiyalis baras men yih maqdis bana hai, aur kya tu use tin 
din men khara kar dega?
Magar us ne apne badan ke maqdis ki babat kaha tha.
Pas jab wuh murdon men se ji utha, to us ke shagirdon ko yad aya, ki us ne yih 
kaha tha: aur unhon ne kitab i muqaddas aur us qaul ka, jo Yisu' ne kaha tha, 
yaqin kiya.
Jab wuh Yarushalem men Fasah ke waqt 'I'd men tha, to bahut se log un mu'jizon 
ko dekhkar, jo wuh dikhata tha, us ke nam par iman lae.
Lekin Yisu' apni nisbat un par i'tibar na karta tha, is liye ki wuh sab ko janta 
tha, aur is ki hajat na rakhta tha ki koi insan ke haqq men gawahi de; kyunki 
wuh ap janta tha, ki insan ke dil men kya kya hai.

/3 Farision men se ek shakhs Nikudemus nam Yahudion ka ek sardar tha:
us ne rat ko Yisu' ke pas akar us se kaha; Ai Rabbi, ham jante hain ki tu Khuda 
ki taraf se ustad hokar aya hai; kyunki jo mu'jize tu dikhata hai, koi shakhs
nahin dikha sakta, jab tak Khuda us ke sath na ho.
Yisu' ne jawab men us se kaha; Main tujh se sach sach kahta hun, ki jab tak
koi naye sire se paida na ho, wuh Khuda ki badshahat ko dekh nahin sakta.
Nikudemus ne us se kaha; A'dmi jab burha ho gaya, to kyunkar paida ho sakta
hai? kya wuh dobara apni man ke pet men dakhil hokar paida ho sakta hai?
Yisu' ne jawab diya, ki Main tujh se sach sach kahta hun; Jab tak koi admi
pani aur Ruh se paida na ho, wuh Khuda ki badshahat men dakhil nahin ho sakta.
Jo jism se paida hua hai, jism hai, aur jo Ruh se paida hua hai, ruh hai.
Ta'ajjub na kar, ki main ne tujh se kaha; Tumhen naye sire se paida hona zarur
hai.
Hawa jidhar chahti hai chalti hai, aur tu us ki awaz sunta hai, magar nahin
janta, ki wuh kahan se ati, aur kahan ko jati hai: jo koi Ruh se paida hua
aisa hi hai.
Nikudemus ne jawab men us se kaha; Yih baten kyunkar ho sakti hain?
Yisu' ne jawab men us se kaha; Bani Israil ka ustad hokar kya tu in baton ko
nahin janta?
Main tujh se sach sach kahta hun, ki Jo ham jante hain, wuh kahte hain, aur
jise ham ne dekha hai, us ki gawahi dete hain; aur tum hamari gawahi qubul
nahin karte.
Jab main ne tum se zamin ki baten kahin, aur tum ne yaqin nahin kiya, to agar
main tum se asman ki baten kahun, to kyunkar yaqin karoge?
Aur asman par koi nahin charha, siwa us ke jo asman se utra, ya'ni Ibn i
A'dam, jo asman men hai.
Aur jis tarah Musa ne sanp ko biyaban men unche par charhaya, usi tarah zarur
hai ki Ibn i A'dam bhi unche par charhaya jae;
taki jo koi iman lae, us men hamesha ki zindagi pae.
Kyunki Khuda ne dunya se aisi mahabbat rakkhi, ki us ne apna iklauta Beta
bakhsh diya, taki jo koi us par iman lae halak na ho, balki hamesha ki zindagi
pae.
Kyunki Khuda ne Bete ko dunya men is liye nahin bheja, ki dunya par saza ka
hukm kare, balki is liye ki dunya us ke wasile se najat pae.
Jo us par iman lata hai, us par saza ka hukm nahin hota; jo us par iman nahin
lata, us par saza ka hukm ho chuka; is liye ki wuh Khuda ke iklaute Bete ke
nam par iman nahin laya.
Aur saza ke hukm ka sabab yih hai, ki nur dunya men aya hai, aur admion ne
tariki ko nur se ziyada pasand kiya, is liye ki un ke kam bure the.
Kyunki jo koi badi karta hai, wuh nur se dushmani rakhta hai, aur nur ke pas
nahin ata, aisa na ho ki us ke kamon par malamat ki jae.
Magar jo sachchai par 'amal karta hai, wuh nur ke pas ata hai, taki us ke kam
zahir hon, ki wuh Khuda men kiye gaye hain.
In baton ke ba'd Yisu' aur us ke shagird Yahudiya ke mulk men ae; aur wuh
wahan un ke sath rahkar baptisma dene laga.
Aur Yuhanna bhi Shalem ke nazdik 'Ainon men baptisma deta tha, kyunki wahan
pani bahut tha, aur log akar baptisma lete the;
kyunki Yuhanna us waqt tak qaidkhane men dala na gaya tha.
Pas Yuhanna ke shagirdon ki kisi Yahudi ke sath taharat ki babat bahs hui.
Unhon ne Yuhanna ke pas akar kaha; Ai Rabbi, jo shakhs Yardan ke par tere sath
tha, jis ki tu ne gawahi di hai, dekh, wuh baptisma deta hai, aur sab us ke
pas ate hain. Yuhanna ne jawab men kaha; Insan kuchh nahin pa sakta, jab tak
us ko asman se na diya jae. Tum khud mere gawah ho, ki main ne kaha; Main
Masih nahin, magar us ke age bheja gaya hun.
Jis ki dulhan hai; wuh dulha hai; magar dulha ka dost jo khara hua us ki sunta
hai, dulha ki awaz se bahut khush hota hai: pas meri yih khushi puri ho gayi.
Zarur hai ki wuh barhe, aur main ghatun.
Jo upar se ata hai, wuh sab se upar hai: jo zamin se hai, wuh zamin hi se hai,
aur zamin hi ki kahta hai: jo asman se ata hai, wuh sab se upar hai.
Jo kuchh us ne dekha aur suna, usi ki gawahi deta hai, aur koi us ki gawahi
qubul nahin karta.
Jis ne us ki gawahi qubul ki, us ne is bat par muhr kar di, ki Khuda sachcha
hai.
Kyunki jise Khuda ne bheja, wuh Khuda ki baten kahta hai: is liye ki wuh Ruh
nap napkar nahin deta.
Bap Bete se mahabbat rakhta hai, aur us ne sab chizen us ke hath men de di
hain.
Jo Bete par iman lata hai, hamesha ki zindagi us ki hai; lekin jo Bete ki
nahin manta, zindagi ko na dekhega, balki us par Khuda ka gazab rahta hai.

/4 Phir jab Khudawand ko ma'lum hua, ki Farision ne suna hai, ki Yisu' Yuhanna
se ziyada shagird karta, aur baptisma deta hai;
(go Yisu' ap nahin balki us ke shagird baptisma dete the);
to wuh Yahudiya ko chhorkar phir Galil ko chala gaya.
Aur us ko Samariya se hokar jana zarur tha.
Pas wuh Samariya ke ek shahr tak aya, jo Sukhar kahlata hai; wuh us qit'a ke
nazdik hai, jo Ya'qub ne apne bete Yusuf ko diya tha.
Aur Ya'qub ka kuan wahin tha. Chunanchi Yisu' safar se thaka manda hokar us
kue par yun hi baith gaya. Yih chhate ghante ke qarib tha.
Samariya ki ek 'aurat pani bharne ai. Yisu' ne us se kaha; Mujhe pani pila;
kyunki us ke shagird shahr men khana mol lene ko gaye the.
Us Samari 'aurat ne us se kaha, ki Tu Yahudi hokar mujh Samari 'aurat se pani
kyun mangta hai? (kyunki Yahudi Samarion se kisi tarah ka bartao nahin
rakhte.)
Yisu' ne jawab men us se kaha; Agar tu Khuda ki bakhshish ko janti, aur yih
bhi janti, ki wuh kaun hai, jo tujh se kahta hai; Mujhe pani pila, to tu us se
mangti, aur wuh tujhe zindagi ka pani deta.
'Aurat ne us se kaha; Ai Khudawand, tere pas pani bharne ko to kuchh hai
nahin, aur kuan gahra hai: phir wuh zindagi ka pani tere pas kahan se aya?
Kya tu hamare bap Ya'qub se bara hai, jis ne ham ko yih kuan diya, aur khud us
ne, aur us ke beton ne, aur us ke maweshi ne us men se piya?
Yisu' ne jawab men us se kaha; Jo koi is pani men se pita hai, wuh phir piyasa
hoga;
magar jo koi us pani men se piega jo main use dunga, wuh abad tak piyasa na
hoga; balki jo pani main use dunga, wuh us men ek chashma ban jaega, jo
hamesha ki zindagi ke liye jari rahega.
'Aurat ne us se kaha; Ai Khudawand, wuh pani mujh ko de, taki main na piyasi
hun, na pani bharne ko yahan tak aun.
Yisu' ne us se kaha; Ja, apne shauhar ko yahan bula la.
'Aurat ne jawab men us se kala, ki Main beshauhar hun. Yisu' ne us se kaha, ki
Tu ne khub kaha; Main beshauhar hun;
kyunki tu panch shauhar kar chuki hai; aur jis ke pas tu ab hai, wuh tera
shauhar nahin; yih tu ne sach kaha.
"Aurat ne us se kaha; Ai Khudawand, mujhe ma'lum hota hai ki tu nabi
hai.
Hamare bapdada ne is pahar par parastish ki; aur tum kahte ho, ki wuh jagah
jahan parastish karni chahiye, Yarushalem men hai.
Yisu' ne us se kaha; Ai 'aurat, meri bat ka yaqin kar, ki wuh waqt ata hai ki
tum na to is pahar par Bap ki parastish karoge, aur na Yarushalem men.
Tum jise nahin jante, us ki parastish karte ho; ham jise jante hain, us ki
parastish karte hain; kyunki najat Yahudion men se hai.
Magar wuh waqt ata hai, balki ab hi hai, ki sachche parastar Bap ki parastish
ruh aur sachchai se karenge, kyunki Bap apne liye aise hi parastar dhundhta
hai.
Khuda ruh hai, aur zarur hai ki us ke parastar ruh aur sachchai se parastish
karen.
'Aurat ne us se kaha; Main janti hun, ki Masih, jo Khristus kahlata hai,
anewala hai; jab wuh aega, to hamen sab baten bata dega.
Yisu' ne us se kaha; Main jo tujh se bol raha hun, wuhi hun.
Itne men us ke shagird a gaye, aur ta'ajjub karne lage ki wuh 'aurat se baten
kar raha hai; taham kisi ne na kaha, ki Tu kya chahta hai? ya, Us se kis liye
baten karta hai?
Pas 'aurat apna ghara chhorkar shahr men chali gayi, aur logon se kahne lagi; 
A'o, ek admi ko dekho, jis ne mere sab kam mujhe bata diye: kya mumkin hai ki
Masih jihi hai?
Wuh shahr se nikalkar us ke pas ane lage.
Itne men us ke shagird us se yih darkhwast karne lage, ki Ai Rabbi, kuchh kha
le.
Lekin us ne un se kaha; Mere pas khane ke liye aisa khana hai jise tum nahin
jante.
Pas shagirdon ne apas men kaha; Kya koi us ke liye kuchh khane ko laya hai?
Yisu' ne un se kaha; Mera khana yih hai, ki apne bhejnewale ki marzi ke
muwafiq 'amal karun, aur us ka kam pura karun.
Kya tum kahte nahin, ki Fasl ke ane men abhi char mahine baqi hain? Dekho,
main tum se kahta hun; apni ankhen uthakar kheton par nazar karo, ki fasl pak
gayi hai.
Aur katnewala mazduri pata, aur hamesha ki zindagi ke liye phal jama' karta
hai, taki bonewala aur katnewala donon milkar khushi karen.
Kyunki is par yih masal thik ati hai, ki Bonewala aur hai, katnewala aur.
Main ne tumhen wuh khet katne ke liye bheja, jis par tum ne mihnat nahin ki:
auron ne mihnat ki, aur tum un ki mihnat ke phal men sharik hue.
Aur us shahr ke bahut se Samari us 'aurat ke kahne se, jis ne gawahi di, ki Us
ne mere sab kam mujhe bata diye, us par iman lae.
Pas jab wuh Samari us ke pas ae, to us se darkhwast karne lage, ki Hamare pas
rah: chunanchi wuh do roz wahan raha.
Aur us ke kalam ke sabab aur bhi bahutere iman lae;
aur us 'aurat se kaha; Ab ham tere kahne hi se iman nahin late; kyunki ham ne
khud sun liya, aur jante hain ki yih fi'lhaqiqat dunya ka Munji hai.
Phir un do dinon ke ba'd wuh wahan se rawana hokar Galil ko gaya.
Kyunki Yisu' ne khud gawahi di, ki Nabi apne watan men 'izzat nahin pata.
Pas jab wuh Galil men aya, to Galilon ne use qubul kiya, is liye ki jitne kam
us ne Yarushalem men 'id ke waqt kiye the, unhon ne un ko dekha tha; kyunki
wuh bhi 'id men gaye the.
Pas wuh phir Qana e Galil men aya, jahan us ne pani ko mai banaya tha. Aur
badshah ka ek mulazim tha, jis ka beta Kafarnahum men bimar tha.
Wuh yih sunkar ki Yisu' Yahudiya se Galil men a gaya hai, us ke pas gaya, aur
us se darkhwast karne laga, ki Chalkar mere bete ko shifa bakhsh: kyunki wuh
marne ko tha.
Yisu' ne us se kaha; Jab tak tum nishan aur 'ajib kam na dekho, hargiz iman na
laoge. Badshah ke mulazim ne us se kaha; Ai Khudawand, mere bachche ke marne
se pahle chal.
Yisu' ne us se kaha; Ja, tera beta jita hai. Us shakhs ne us bat ka yaqin kiya
jo Yisu' ne us se kahi, aur chala gaya.
Wuh raste hi men tha, ki us ke naukar use mile aur kahne lage, ki Tera larka
jita hai.
Us ne un se puchha, ki Use kis waqt se aram hone laga tha? Unhon ne kaha, ki
Kal satwen ghante men us ki tap utar gayi.
Pas bap jan gaya, ki wuhi waqt tha jab Yisu' ne us se kaha tha, ki Tera beta
jita hai. Aur wuh khud aur us ka sara gharana iman laya.
Yih dusra mu'jiza hai, jo Yisu' ne Yahudiya se Galil men akar dikhaya.

/5 In baton ke ba'd Yahudion ki ek 'id hui, aur Yisu' Yarushalem ko gaya.
Yarushalem men bher darwaze ke pas ek hauz hai, jo 'Ibrani men Bait Hasda
kahlata hai; aur us ke panch baramade hain.
In men bahut se bimar, aur andhe, aur langre, aur pazhmurda log [pani ke hilne
ke muntazir hokar] pare the. [Kyunki waqt par Khudawand ka firishta hauz par
utarkar pani hilaya karta tha: pani hilte hi jo koi pahle utarta so shifa
pata, us ki jo kuchh bimari kyun na ho.]
Wahan ek shakhs tha, jo athtis baras se bimari men mubtala tha.
Is ko Yisu' ne para hua dekha, aur yih jankar ki wuh bari muddat se is halat
men hai, us se kaha; Kya tu tandurust hona chahta hai?
Us bimar ne use jawab diya; Ai Khudawand, mere pas koi admi nahin, ki jab pani
hilaya jae, to mujhe hauz men utar de; balki mere pahunchte pahunchte dusra
mujh se pahle utar parta hai.
Yisu' ne us se kaha; Uth, aur apni charpai uthakar chal phir.
Wuh shakhs fauran tandurust ho gaya, aur apni charpai uthakar chalne phirne
laga. Wuh din Sabt ka tha. 
Pas Yahudi us se, jis ne shifa pai thi, kahne lage, ki A'j Sabt ka din hai;
tujhe charpai uthani rawa nahin.
Us ne unhen jawab diya; Jis ne mujhe tandurust kiya, usi ne mujhe farmaya, ki
Apni charpai uthakar chal phir.
Unhon ne us se puchha, ki Wuh kaun shakhs hai jis ne tujh se kaha; Charpai
uthakar chal phir?
Lekin jo shifa pa gaya tha, wuh na janta tha ki kaun hai; kyunki bhir ke sabab
Yisu' wahan se tal gaya tha.
In baton ke ba'd wuh Yisu' ko haikal men mila. Us ne us se kaha; Dekh, tu
tandurust ho gaya hai; phir gunah na karna, aisa na ho ki tujh par is se bhi
ziyada afat ae. Us admi ne jakar Yahudion ko khabar di, ki Jis ne mujhe
tandurust kiya, wuh Yisu' hai.
Is liye Yahudi Yisu' ko satane lage, kyunki wuh aise kam Sabt ke din karta
tha.
Lekin Yisu' ne un se kaha, ki Mera Bap ab tak kam karta hai, aur main bhi kam
karta hun.
Is sabab se Yahudi aur bhi ziyada us ke qatl karne ki koshish karne lage, ki
wuh na faqat Sabt ka hukm torta, balki Khuda ko khass apna Bap kahkar apne ap
ko Khuda ke barabar banata tha.
Pas Yisu' ne un se kaha; Main tum se sach sach kahta hun, ki Beta ap se kuchh
nahin kar sakta, siwa us ke jo Bap ko karte dekhta hai; kyunki jin kamon ko
wuh karta hai, unhen Beta bhi usi tarah karta hai.
Is liye ki Bap Bete ko 'aziz rakhta hai, aur jitne kam khud karta hai, use
dikhata hai; balki in se bhi bare kam use dkihaega, taki tum ta'ajjub karo.
Kyunki jis tarah Bap murdon ko uthata aur zinda karta hai, usi tarah Beta bhi
jinhen chahta hai zinda karta hai.
Kyunki Bap kisi ki 'adalat bhi nahin karta, balki us ne 'adalat ka sara kam
Bete ke supurd kiya hai.
taki sab log Bete ki 'izzat karen, jis tarah Bap ki 'izzat karte hain. Jo Bete
ki 'izzat nahin karta, wuh Bap ki, jis ne use bheja, 'izzat nahin karta.
Main tum se sach sach kahta hun, ki Jo mera kalam sunta, aur mere bhejnewale
ka yaqin karta hai, hamesha ki zindagi us ki hai, aur uspar saza ka hukm nahin
hota, balki wuh maut se nikalkar zindagi men dakhil ho gaya hai.
Main tum se sach sach kahta hun, ki Wuh waqt ata hai, balki abhi hai, ki murde
Khuda ke Bete ki awaz sunenge, aur jo sunenge wuh jienge.
Kyunki jis tarah Bap apne ap men zindagi rakhta hai, usi tarah us ne Bete ko
bhi yih bakhsha, ki apne ap men zindagi rakkhe;
balki use 'adalat karne ka bhi ikhtiyar bakhsha, is liye ki wuh adamzad hai.
Is se ta'ajjub na karo, kyunki wuh waqt ata hai, ki jitne qabron men hain us
ki awaz sunkar niklenge; 
jinhon ne neki ki hai, zindagi ki qiyamat ke waste, aur jinhon ne badi ki hai;
saza ki qiyamat ke waste.
Main apne ap se kuchh nahin kar sakta: jaisa sunta hun, 'adalat karta hun, aur
meri 'adalat rast hai; kyunki main apni marzi nahin, balki apne bhejnewale ki
marzi chahta hun.
Agar main khud apni gawahi dun, to meri gawahi sachchi nahin.
Ek aur hai jo meri gawahi deta hai, aur main janta hun ki meri gawahi jo wuh
deta hai sachchi hai.
Tum ne Yuhanna ke pas payam bheja, aur us ne sachchai ki gawahi di hai.
Lekin main apni nisbat insan ki gawahi manzur nahin karta: taubhi main yih
baten is liye kahta hun ki tum najat pao.
Wuh jalta aur chamakta hua chirag tha; aur tum ko kuchh 'arse tak us ki
raushni men khush rahna manzur hua.
Lekin mere pas jo gawahi hai, wuh Yuhanna ki gawahi se bari hai: kyunki jo kam
Bap ne mujhe pure karne ko diye, ya'ni yihi kam jo main karta hun, wuh mere
gawah hain ki Bap ne mujhe bheja hai.
Aur Bap jis ne mujhe bheja hai, usi ne meri gawahi di hai. Tum ne na kabhi us
ki awaz suni hai, aur na us ki surat dekhi;
aur us ke kalam ko apne dilon men qaim nahin rakhte; kyunki jise us ne bheja
hai, us ka yaqin nahin karte.
Tum kitab i muqaddas men dhundhte ho; kyunki samajhte ho ki us men hamesha ki
zindagi tumhen milti hai; aur yih wuh hai, jo meri gawahi deti hai;
phir bhi tum zindagi pane ke liye mere pas ana nahin chahte.
Main admion se 'izzat nahin chahta.
Lekin main tum ko janta hun, ki tum men Khuda ki mahabbat nahin.
Main apne Bap ke nam se aya hun, aur tum mujhe qubul nahin karte; agar koi aur
apne hi nam se ae, to use qubul kar loge.
Tum jo ek dusre se 'izzat chahte ho, aur wuh 'izzat jo Khuda e Wahid ki taraf
se hoti hai nahin chahte, kyunkar iman la sakte ho?
Yih na samjho ki main Bap se tumhari shikayat karunga: tumhari shikayat
karnewala to hai, ya'ni Musa, jis par tum ne ummed laga rakkhi hai.
Kyunki agar tum Musa ka yaqin karte, to mera bhi yaqin karte, is liye ki us ne
mere haqq men likha hai.
Lekin jab tum us ke nawishton ka yaqin nahin karte, to meri baton ka kyunkar
yaqin karoge?

/6 In baton ke ba'd Yisu' Galil ki jhil, ya'ni Tibiriyas ki jhil ke par gaya.
Aur bari bhir us ke pichhe ho li, kyunki jo mu'jize wuh bimaron par karta tha,
un ko wuh dekhte the.
Yisu' pahar par charh gaya, aur apne shagirdon ke sath wahan baitha.
Aur Yahudion ki 'I'd i Fasah nazdik thi.
Pas jab Yisu' ne apni ankhen uthakar dekha, ki mere pas bari bhir a rahi hai,
to Filippus se kaha, ki Ham in ke khane ke liye kahan se rotiyan mol len?
Magar us ne us ke azmane ke liye yih kaha; kyunki wuh ap janta tha, ki main
kya karunga.
Filippus ne use jawab diya, ki Do sau dinar ki rotiyan in ke liye kafi na
hongri, ki har ek ko thori bhi mil jae.
Us ke shagirdon men se ek ne, ya'ni Shama'un Patras ke bhai Andriyas ne, us se
kaha;
Yahan ek larka hai, jis ke pas jau ki panch rotiyan, aur do machhliyan hain;
magar yih itne logon men kya hain?
Yisu' ne kaha, ki Logon ko bithao. Aur us jagah bahut ghas thi. Pas wuh mard,
jo takhminan panch hazar the, baith gaye.
Yisu' ne wuh rotiyan lin, aur shukr karke unhen jo baithe the bant din; aur
isi tarah machhliyon men se jis qadr chahte the bant diya.
Jab wuh ser ho chuke, to us ne apne shagirdon se kaha, ki Bache hue tukron ko
jama' karo, taki kuchh zai' na ho.
Chunanchi unhon ne jama' kiya, aur jau ki panch rotiyan ke tukron se, jo
khanewalon se bach rahe the, barah tokriyan bharin.
Pas jo mu'jiza us ne dikhaya wuh log use dekhkar kahne lage; Jo nabi dunya men
anewala tha, fi'lhaqiqat yihi hai.
Pas Yisu' yih ma'lum karke, ki wuh akar mujhe badshah banane ke liye pakra
chahte hain, phir pahar par akela chala gaya.
Phir jab sham hui, to us ke shagird jhil ke kanare gaye;
aur kishti par charhkar jhil ke par Kafarnahum ko chale jate the. Us waqt
andhera ho gaya tha, aur Yisu' abhi tak un ke pas na aya tha.
Aur andhi ke sabab jhil men maujen uthne lagin.
Pas jab wuh khete khete tin char mil ke qarib nikal gaye, to unhon ne Yisu' ko
jhil par chalte, aur kishti ke nazdik ate dekha, aur dar gaye.
Magar us ne un se kaha, ki Main hun; daro nahin.
Pas wuh use kishti par charha lene ko razi hue, aur fauran wuh kishti us jagah
ja pahunchi jahan wuh jate the.
Dusre din us bhir ne, jo jhil ke par khari thi, yih dekha ki yahan ek ke siwa
aur koi chhoti kishti na thi, aur Yisu' apne shagirdon ke sath kishti par
sawar na hua tha, balki sirf us ke shagird chale gaye the;
(lekin ba'z chhoti kishtian Tibiriyas se us jagah ke nazdik ain, jahan unhon
ne Khudawand ke shukr karne ke ba'd roti khai thi:)
pas jab bhir ne dekha, ki yahan na Yisu' hai, na us ke shagird, to wuh khud
chhoti kishtion par charhkar, Yisu' ki talash men Kafarnahum ko ae, 
aur jhil ke par us se milkar kaha; Ai Rabbi, tu yahan kab aya? 
Yisu' ne un ke jawab men kaha; Main tum se sach sach kahta hun Tum mujhe is
liye nahin dhundhte ki mu'jize dekhe, balki is liye ki tum rotiyan khakar ser
hue.
Fani khurak kr liye mihnat na karo, balki us khurak ke liye jo hamesha ki
zindagi tak thahrti hai, jise Ibn i A'dam tumhen dega; kyunki Bap, ya'ni Khuda
ne usi par muhr ki hai.
Pas unhon ne us se kaha, ki Ham kya karen, taki Khuda ke kam anjam den? 
Yisu' ne jawab men un se kaha; Khuda ka kam yih hai, ki jise us ne bheja hai,
us par iman lao.
Pas unhon ne us se kaha; Phir tu kaun sa nishan dikhata hai; taki ham dekhkar
tera yaqin karen? Tu kaun sa kam karta hai?
Hamare bapdada ne biyaban men mann khaya; chunanchi likha hai, ki Us ne unhen
khane ke liye asman se roti di.
Yisu' ne un se kaha; Main tum se sach sach kahta hun, ki Musa ne to wuh roti
asman se tumhen na di, lekin mera Bap tumhen asman se haqiqi roti deta hai.
Kyunki Khuda ki roti wuh hai, jo asman se utarkar dunya ko zindagi bakhshti
hai.
Unhon ne us se kaha; Ai Khudawand, yih roti ham ko hamesha diya kar.
Yisu'ne un se kaha; Zindagi ki roti main hun: jo mere pas ae, wuh hargiz bhuka
na hoga, aur jo mujh par iman lae, wuh kabhi piyasa na hoga.
Lekin main ne tum se kaha, ki Tum ne mujhe dekh liya hai, phir bhi iman nahin
late.
Jo kuchh Bap mujhe deta hai mere pas a jaega; aur jo koi mere pas aega, use
main hargiz na nikalunga.
Kyunki main asman se utra hun, na is liye ki apni marzi ke muwafiq 'amal
karun, balki is liye ki apne bhejnewale ki marzi ke muwafiq 'amal karun.
Aur mere bhejnewale ki marzi yih hai, ki jo kuchh us ne mujhe diya hai, main
us men se luchh kho na dun, balki use akhiri din phir zinda karun.
Kyunki mere Bap ki marzi yih hai, ki jo koi Bete ko dekhe, aur us par iman
lae, hamesha ki zindagi pae; aur main use akhiri din phir zinda karun.
Pas Yahudi us par burburane lage, is liye ki us ne kaha tha; Jo roti asman se
utri, wuh main hun.
Aur unhon ne kaha; Kya yih Yusuf ka beta Yisu' nahin, jis ke bap aur man ko
ham jante hain? ab kyunkar kahta hai, ki Main asman se utra hun?
Yisu' ne jawab men un se kaha, ki A'pas men na burburao.
Koi mere pas nahin a sakta, jab tak Bap, jis ne mujhe bheja hai, use khench na
le; aur main use akhiri din phir zinda karunga.
Nabion ke sahifon men yih likha hai, ki Wuh sab Khuda ki taraf se ta'lim pae
hue honge. Jis kisi ne Bap se suna aur sikha hai, wuh mere pas ata hai.
Yih nahin, ki kisi ne Bap ko dekha hai, magar jo Khuda ki taraf se hai, usi ne
Bap ko dekha hai.
Main tum se sach sach kahta hun, ki Jo iman lata hai, hamesha ki zindagi us ki
hai.
Zindagi ki roti main hun.
Tumhare bapdada ne biyaban men mann khaya, aur mar gaye.
Yih wuh roti hai jo asman se utarti hai, taki admi us men se khae aur na mare.
Main hun wuh zindagi ki roti jo asman se utri: agar koi is roti men se khae,
to abad tak zinda rahega; balki jo roti main jahan ki zindagi ke liye dunga,
wuh mera gosht hai.
Pas Yahudi yih kahkar apas men jhagarne lage, ki Yih shakhs apna gosht hamen
kyunkar khane ko de sakta hai?
Yisu' ne un se kaha; Main tum se sach sach kahta hun, ki Jab tak tum Ibn i
A'dam ka gosht na khao, aur us ka khun na piyo, tum men zindagi nahin.
Jo mera gosht khata, aur mera khun pita hai, hamesha ki zindagi us ki hai, aur
main use akhiri din phir zinda karunga.
Kyunki mera gosht fi'lhaqiqat khane ki chiz aur mera khun fi'lhaqiqat pine ki
chiz hai.
Jo mera gosht khata aur mera khun pita hai, wuh mujh men qaim rahta hai, aur
main us men.
Jis tarah zinda Bap ne mujhe bheja, aur main Bap ke sabab se zinda hun; isi
tarah wuh bhi jo mujhe khaega mere sabab se zinda rahega.
Jo roti asman se utri yihi hai: bapdada ki tarah nahin ki khaya, aur mar gaye;
jo yih roti khaega, wuh abad tak zinda rahega.
Yih baten us ne Kafarnahum ke ek 'ibadatkhane men ta'lim dete waqt kahin.
Is liye us ke shagirdon men se bahuton ne sunkar kaha, ki Yih kalam nagawar
hai; use kaun sun sakta hai?
Yisu' ne apne ji men jankar ki mere shagird apas men is bat par burburate
hain, un se kaha; Kya tum is bat se thokar khate ho?
Agar tum Ibn i A'dam ko upar jate dekhoge, jahan wuh pahle tha, to kya hoga?
Zinda karnewali to ruh hai; jism se kuchh faida nahin: jo baten main ne tum se
kahi hain wuh ruh hain, aur zindagi bhi hain.
Magar tum men se ba'z aise hain jo iman nahin lae. Kyunki Yisu' shuru' se
janta tha ki jo iman nahin late, wuh kaun hain, aur kaun mujhe pakarwaega.
Phir us ne kaha; Isi liye main ne tum se kaha tha, ki mere pas koi nahin a
sakta, jab tak Bap ki taraf se use yih taufiq na di jae.
Is par us ke shagirdon men se bahutere ulte phir gaye, aur is ke ba'd us ke
sath na rahe.
Pas Yisu' ne un barah se kaha; Kya tum bhi chala jana chahte ho?
Shama'un Patras ne use jawab diya; Ai Khudawand, kis ke pas jaen? hamesha ki
zindagi ki baten to tere hi pas hain.
Aur ham iman lae aur jan gaye hain, ki Khuda ka Quddus tu hi hai.
Yisu' ne unhen jawab diya; Kya main ne tum barah ko nahin chun liya? aur tum
men se ek shakhs shaitan hai.
Us ne yih Shama'un Iskariyoti ke bete Yahudah ki nisbat kaha; kyunki yihi, jo
un barah men se tha, use pakarwane ko tha.

/7 In baton ke ba'd Yisu' Galil men phirta raha, kyunki Yahudiya men phirna na
chahta tha, is liye ki Yahudi us ke qatl ki koshish men the.
Aur Yahudion ki 'I'd i Khiyam nazdik thi.
Pas us ke bhaiyon ne us se kaha; Yahan se rawana hokar Yahudiya ko chala ja,
taki jo kam tu karta hai, unhen tere shagird bhi dekhen; 
kyunki aisa koi nahin jo mashhur hona chahe, aur chhipkar kam kare. Agar tu
yih kam karta hai, to apne ap ko dunya par zahir kar.
Kyunki us ke bhai bhi us par iman na lae the.
Pas Yisu' ne un se kaha, ki Mera to abhi waqt nahin aya; magar tumhare liye
sab waqt hain.
Dunya tum se 'adawat nahin kar sakti; lekin mujh se karti hai, kyunki main us
par gawahi deta hun, ki us ke kam bure hain.
Tum 'id men jao: main abhi is 'id men nahin jata; kyunki abhi tak mera waqt
pura nahin hua.
Yih baten un se kahkar wuh Galil hi men raha.
Lekin jab us ke bhai 'id men chale gaye, us waqt wuh bhi gaya, zahira nahin,
balki goya poshida.
Pas Yahudi use 'id men yih kahkar dhundhne lage, ki Wuh kahan hai?
Aur logon men us ki babat chupke chupke bahut si guftgu hui: ba'z kahte the;
Wuh nek hai: aur ba'z kahte the; Nahin, balki wuh logon ko gumrah karta hai.
Taham Yahudion ke dar se koi shakhs us ki babat saf saf na kahta tha.
Aur jab 'id ke adhe din guzar gaye, to Yisu' haikal men jakar ta'lim dene
laga.
Pas Yahuduion ne ta'ajjub karke kaha, ki Is ko bagair parhe kyunkar 'ilm a
gaya? 
Yisu' ne jawab men un se kaha, ki Meri ta'lim meri nahin, balki mere
bhejnewale ki hai.
Agar koi us ki marzi par chalna chahe, to wuh is ta'lim ki babat jan jaega ki
Khuda ki taraf se hai, ya main apni taraf se kahta hun.
Jo apni taraf se kuchh kahta hai, wuh apni 'izzat chahta hai: lekin jo apne
bhejnewale ki 'izzat chahta hai, wuh sachcha hai, aur us men narasti nahin.
Kya Musa ne tumhen shari'at nahin di? taubni tum men se shari'at par koi 'amal
nahin karta. Tum kyun mere qatl ki koshish men ho?
Logon ne jawab diya; Tujh men to badruh hai; kaun tere qatl ki koshish men
hai?
Yisu' ne jawab men un se kaha; Main ne ek kam kiya, aur tum sab ta'ajjub karte
ho.
Is sabab se Musa ne tumhen khatna ka hukm diya hai, (halanki wuh Musa ki taraf
se nahin, balki bapdada se chala aya hai;) aur tum sabt ke din admi ka khatna
karte ho.
Jab Sabt ko admi ka khatna kiya jata hai, taki Musa ki shari'at ka hukm na
tute, to kya mujh se is liye gusse ho ki main ne Sabt ke din ek admi ko
bi'lkull achchha kar diya?
Zahir ke muwafiq faisala na karo, balki insaf se faisala karo.
Tab ba'z Yarushalemi kahne lage; Kya yih wuhi nahin, jis ke qatl ki koshish ho
rahi hai?
Lekin dekho, yih saf saf kahta hai, aur wuh us se kuchh nahin kahte; kya ho
sakta hai ki sardaron ne sach sach jan liya ki yih Masih hai?
Is ko to ham jante hain ki kahan ka hai; magar Masih jab aega, to koi na
janega ki wuh kahan ka hai.
Pas Yisu' ne haikal men ta'lim dete waqt pukarkar kaha, ki Tum mujhe bhi jante
ho, aur yih bhi jante ho ki main kahan ka hun: aur main ap se nahin aya: magar
jis ne mujhe bheja hai, wuh sachcha hai; us ko tum nahin jante.
Main use janta hun; is liye ki main us ki taraf se hun, aur usi ne mujhe bheja
hai.
Pas wuh us ke pakarne ki koshish karne lage; lekin is liye ki us ka waqt abhi
na aya tha, kisi ne us par hath na dala.
Magar bhir men se bahutere us par iman lae, aur kahne lage, ki Masih jab aega,
to kya in se ziyada mu'jize dikhaega, jo is ne dikhae?
Farision ne logon ko suna ki us ki babat chupke chupke yih guftgu karte hain;
pas sardar kahinon aur Farision ne us ke pakarne ko piyade bheje.
Yisu' ne kaha; Main aur thore dinon tak tumhare pas hun; phir apne bhejnewale
ke pas chala jaunga.
Tum mujhe dhundhoge, magar na paoge: aur jahan main hun, tum nahin a sakte.
Yahudion ne apas men kaha; Yih kahan jaega, ki ham ise na paenge? kya un ke
pas jaega jo Yunanion men ja ba ja rahte hain, aur Yunanion ko ta'lim dega?
Yih kya bat hai jo is ne kahi, ki Tum mujhe dhundhoge, magar na paoge: aur
jahan main hun, tum nahin a sakte?
Phir 'id ke akhir din, jo khass din hai, Yisu' khara hua, aur pukarke kaha;
Agar koi piyasa ho, to mere pas akar piye.
Jo mujh par iman laega, us ke andar se, jaisa ki kitab i muqaddas men aya hai,
zindagi ke pani ki nadiyan jari hongi.
Us ne yih bat us Ruh ki babat kahi, jise wuh pane ko the jo us par iman lae;
kyunki Ruh ab tak nazil na hui thi, is liye ki Yisu' ab tak apne jalal ko na
pahuncha tha.
Pas bhir men se ba'z ne yih baten sunkar kaha; Beshakk, yihi wuh Nabi hai. 
Auron ne kaha; Yih Masih hai. Aur ba'z ne kaha; Kyun? kya Masih Galil se aega?
Kya kitab i muqaddas men yih nahin aya, ki Masih Daud ki nasl aur Baitlahm ke
ganw se aega, jahan ka Daud tha?
Pas logon men us ke sabab se ikhtilaf hua.
Aur un men se ba'z shakhs us ko pakarna chahte the; magar kisi ne us par hath
na dala.
Pas piyade sardar kahinon aur Farision ke pas ae, aur inhon ne un se kaha; Tum
use kyun na lae?
Piyadon ne jawab diya, ki Insan ne kabhi aisa kalam nahin kiya.
Farision ne unhen jawab diya; Kya tum bhi gumrah ho gaye? 
Bhala, sardaron, ya Farision men se bhi koi us par iman laya?
Magar yih 'amm log, jo shari'at se waqif nahin, la'nati hain.
Nikudemus ne, jo pahle us ke pas aya tha, aur un hi men se tha, un se kaha;
Kya hamari shari'at kisi shakhs ko mujrim thahrati hai, jab tak pahle us ki
sunkar jan na le, ki wuh kya karta hai?
Unhon ne us ke jawab men kaha; Kya tu bhi Galil ka hai? Talash kar aur dekh,
ki Galil men se koi nabi nahin uthne ka.
Phir un men se har ek apne apne ghar chala gaya:

/8 magar Yisu' Zaitun ke pahar ko gaya.
Subh sawere hi wuh phir haikal men aya, aur sab log us ke pas ae; aur wuh
baithkar unhen ta'lim dene laga.
Aur faqih aur Farisi ek 'aurat ko lae, jo zina men pakri gayi thi, aur use
bich men khara karke Yisu' se kaha;
Ai ustad, yih 'aurat zina men 'ain fi'l ke waqt pakri gayi hai.
Tauret men Musa ne ham ko hukm diya ki aisi 'auraton ko sangsar karen; pas tu
is 'aurat ki nisbat kya kahta hai?
Unhon ne use azmane ke liye yih kaha, taki us par ilzam lagane ka koi sabab
nikalen. Magar Yisu' jhukkar ungli se zamin par likhne laga.
Jab wuh us se suwal karte hi rahe, to us ne sidhe hokar un se kaha, ki Jo tum
men begunah ho, wuhi pahle us ke patthar mare.
Aur phir jhukkar zamin par ungli se likhne laga.
Wuh yih sunkar baron se lekar chhoton tak ek ek karke nikal gaye, aur Yisu'
akela rah gaya, aur 'aurat wahin bich men rah gayi.
Yisu' ne sidhe hokar us se kaha; Ai 'aurat yih log kahan gaye? Kya kisi ne
tujh par hukm nahin lagaya?
Us ne kaha; Ai Khudawand, kisi ne nahin. Yisu' ne kaha; Main bhi tujh par hukm
nahin lagata; ja, phir gunah na karna.
Yisu' ne phir un se mukhatib hokar kaha; Dunya ka nur main hun; jo meri
pairawi karega, wuh adhere men na chalega, balki zindagi ka nur paega.
Farision ne us se kaha; Tu apni gawahi ap deta hai; teri gawahi sachchi nahin.
Yisu' ne jawab men un se kaha; Agarchi main apni gawahi ap deta hun, taubhi
meri gawahi sachchi hai, kyunki mujhe ma'lum hai ki main kahan se aya hun, aur
kahan ko jata hun; lekin tum ko ma'lum nahin ki main kahan se ata hun ya kahan
ko jata hun.
Tum jism ke mutabiq faisala karte ho; main kisi ka faisala nahin karta.
Aur agar main faisala karun bhi, to mera faisala sachcha hai; kyunki main
akela nahin, balki main hun, aur Bap hai jis ne mujhe bheja hai.
Aur tumhari Tauret men bhi likha hai, ki do admion ki gawahi milkar sachchi
hoti hal.
Ek to main khud apni gawahi deta hun, aur ek Bap jis ne mujhe bheja meri
gawahi deta hai.
Unhon ne us se kaha; Tera Bap kahan hai? Yisu' ne jawab diya; Na, tum mujhe
jante ho, na mere Bap ko; agar mujhe jante, to mere Bap ko bhi jante.
Us ne haikal men ta'lim dete waqt yih baten Baitu'l Mal men kahin; aur kisi ne
us ko na pakra, kyunki abhi tak us ka waqt na aya tha.
Us ne phir un se kaha; Main jata hun, aur tum mujhe dhundhoge, aur apne gunah
men maroge; jahan main jata hun tum nahin a sakte.
Pas Yahudion ne kaha; Kya wuh apne ap ko mar dalega, jo kahta hai; Jahan main
jata hun tum nahin a sakte?
Us ne un se kaha; Tum niche ke ho; main upar ka hun; tum dunya ke ho; main
dunya ka nahin hun.
Is liye main ne tum se yih kaha, ki apne gunahon men maroge; kyunki agar tum
iman na laoge ki main wuhi hun, to apne gunahon men maroge.
Unhon ne us se kaha; Tu kaun hai? Yisu' ne un se kaha; Wuhi hun jo shuru' se
tum se kahta aya hun.
Mujhe tumhari nisbat bahut kuchh kahna aur faisala karna hai. Lekin jis ne
mujhe bheja, wuh sachcha hai; aur jo main ne us se suna, wuhi dunya se kahta
hun.
Wuh na samjhe ki ham se Bap ki nisbat kahta hai.
Pas Yisu' ne kaha, ki Jab tum Ibn i A'dam ko unche par charhaoge, to janoge ki
main wuhi hun, aur apni taraf se kuchh nahin karta, balki jis tarah Bap ne
mujhe sikhaya, usi tarah yih baten kahta hun.
Aur jis ne mujhe bheja, wuh mere sath hai; us ne mujhe akela nahin chhora;
kyunki main hamesha wuhi kam karta hun jo use pasand ate hain.
Jab wuh yih baten kah raha tha, to bahutere us par iman lae.
Pas Yisu' ne un Yahudion se kaha, jinhon ne us ka yaqin kiya tha, ki Agar tum
mere kalam par qaim rahoge, to haqiqat men mere shagird thahroge, 
aur sachchai se wadif hoge, aur sachchai tum ko azad karegi.
Unhon ne use jawab diya; Ham to Ibrahim ki nasl se hain, aur kabhi kisi ki
gulami men nahin rahe: tu kyunkar kahta hai, ki Tum azad kiye jaoge?
Yisu' ne unhen jawab diya; Main tum se sach sach kahta hun, ki Jo koi gunah
karta hai, gunah ka gulam hai.
Aur gulam abad tak ghar men nahin rahta; beta abad tak rahta hai.
Pas agar Beta tumhen azad karega, to tum waqa'i azad hoge.
Main janta hun ki tum Ibrahim ki nasi se ho; taubhi mere qatl ki koshish men
ho, kyunki mera kalam tumhare dil men jagah nahin karta.
Main ne jo apne Bap ke han dekha hai, wuh kahta hun; aur tum ne jo apne bap se
suna hai, wuh karte ho.
Unhon ne jawab men us se kaha; Hamara bap to Ibrahim hai. Yisu' ne un se kaha;
Agar tum Ibrahim ke farzand hote, to Ibrahim ke se kam karte.
Lekin ab tum mujh jaise shakhs ke qatl ki koshish men ho, jis ne tum ko wuhi
haqq bat batai jo Khuda se suni. Ibrahim ne to yih nahin kiya tha.
Tum apne bap ke se kam karte ho. Unhon ne us se kaha; Ham haram se paida nahin
hue; hamara ek Bap hai, ya'ni Khuda.
Yisu' ne un se kaha; Agar Khuda tumhara Bap hota, to tum mujh se mahabbat
rakhte; is liye ki main Khuda men se nikla aur aya hun; kyunki main ap se
nahin aya, balki usi ne mujhe bheja.
Tum meri baten kyun nahin samajhte? Is liye ki mera kalam sun nahin sakte.
Tum apne bap Iblis se ho, aur apne bap ki khwahishon ko pura karna chahte ho.
Wuh shuru' hi se khuni hai, aur sachchai par qaim nahin raha, kyunki us men
sachchai hai nahin. Jab wuh jhuth bolta hai, to apni hi si kahta hai; kyunki
wuh jhutha hai, balki jhuth ka bap hai.
Lekin main jo sach bolta hun, isi liye tum mera yaqin nahin karte.
Tum men kaun mujh par gunah sabit karta hai? Agar main sach bolta hun, to mera
yaqin kyun nahin karte?
Jo Khuda se hota hai, wuh Khuda ki baten sunta hai: tum is ilye nahin sunte ki
Khuda se nahin ho.
Yahudion ne jawab men us se kaha; Kya ham khub nahin kahte ki tu Samari hai,
aur tujh men badruh hai?
Yisu' ne jawab diya, ki Mujh men badruh nahin; magar main apne Bap ki 'izzat
karta hun, aur tum meri be'izzati karte ho.
Lekin main apni buzurgi nahin chahta; han, ek hai jo use chahta, aur faisala
karta hai.
Main tum se sach sach kahta hun, ki Agar koi shakhs mere kalam par 'amal
karega, to abad tak kabhi maut ko na dekhega.
Yahudion ne us se kaha, ki Ab ham ne jan liya ki tujh men badruh hai.
Ibrahim mar gaya, aur nabi mar gaye; magar tu kahta hai, ki Agar koi mere
kalam par 'amal karega, to abad tak kabhi maut ka maza na chakkhega.
Hamara bap Ibrahim jo mar gaya, kya tu us se bara hai? aur nabi bhi mar gaye;
tu apne ap ko kya thahrata hai?
Yisu' ne jawab diya; Agar main ap apni barai karun, to meri barai kuchh nahin.
Lekin meri barai mera Bap karta hai, jise tum kahte ho ki hamara Khuda hai:
tum ne use nahin jana: lekin main use janta hun; aur agar kahun ki use nahin
janta, to tumhari tarah jhutha banunga: magar main use janta, aur us ke kalam
par 'amal karta hun. 
Tumhara bap Ibrahim mera din dekhne ki ummed par bahut khush tha; chunanchi us
ne dekha, aur khush hua.
Yahudion ne us se kaha, ki Teri 'umr to abhi pachas baras ki nahin; phir tu ne
Ibrahim ko dekha?
Yisu' ne un se kaha; Main tum se sach sach kahta hun; Peshtar us se ki Ibrahim
paida hua, main hun.
Pas unhon ne us ke marne ko patthar uthae; magar Yisu' chhipkar haikal se
nikal gaya.
/9 Phir us ne jate men ek shakhs ko dekha, jo janam ka andha tha.
Aur us ke shagirdon ne us se puchha, ki Ai Rabbi, kis ne gunah kiya tha, jo
yih andha paida hua; is shakhs ne, ya is ke man bap ne?
Yisu' ne jawab diya, ki Na is ne gunah kiya tha, na is ke man bap ne: balki
yih is liye hua ki Khuda ke kam us men zahir hon.
Jis ne mujhe bheja hai, hamen us ke kam din hi din men karne zarur hain: wuh
rat anewali hai jis men koi shakhs kam nahin kar sakta.
Jab tak main dunya men hun, dunya ka nur hun.
Yih kahkar us ne zamin par thuka, aur thuk se mitti sani, aur wuh mitti andhe
ki ankhon par lagakar 
us se kaha; Ja, Shilokh ke hauz men dho le, (jis ka tarjuma Bheja Hua hai).
Pas us ne jakar dhoya, aur dina hokar wapas aya.
Pas parausi aur jin jin logon ne pahle us ko bhikh mangte dekha tha, kahne
lage; Kya yih wuh nahin, jo baitha bhikh manga karta tha?
Ba'z ne kaha; Yih wuhi hai: auron ne kaha, ki Nahin; lekin koi us ke hamshakl
hai: us ne kaha; Main wuhi hun.
Pas wuh us se kahne lage, Phir teri ankhen kyunkar khul gayin?
Us ne jawab diya, ki Us shakhs ne jis ka nam Yisu' hai mitti sani, aur meri
ankhon par lagakar mujh se kaha, ki Shilokh men jakar dho le: pas main gaya,
aur dhokar bina ho gaya.
Unhon ne us se kaha; Wuh kahan hai? Us ne kaha; Main nahin janta.
Log us shakhs ko jo pahle andha tha Farision ke pas le gaye.
Aur jis roz Yisu' ne mitti sankar us ki ankhen kholi thin, wuh Sabt ka din
tha.
Phir Farision ne bhi us se puchha; Tu kis tarah bina hua? Us ne un se kaha, ki
Us ne meri ankhon par mitti lagai, phir main ne dho liya, aur ab bina hun.
Pas ba'z Farisi kahne lage; Yih admi Khuda ki taraf se nahin, kyunki Sabt ke
din ko nahin manta. Magar ba'z ne kaha, ki Gunahgar admi kyunkar aise mu'jize
dikha sakta hai? Pas un men ikhtilaf hua.
Unhon ne phir us andhe se kaha, ki Us ne jo teri ankhen kholin, tu us ke haqq
men kya kahta hai? Us ne kaha, Wuh nabi hai.
Lekin Yahudion ko yaqin na aya ki yih andha tha aur bina ho gaya hai, jab tak
unhon ne us ke man bap ko jo bina ho gaya tha bulakar
un se na puchh liya, ki Kya yih tumhara beta hai, jise tum kahte ho ki andha
paida hua tha? Phir wuh ab kyunkar dekhta hai?
Us ke man bap ne jawab men kaha; Ham jante hain, ki yih hamara beta hai, aur
andha paida hua tha; 
lekin yih ham nahin jante ki ab wuh kyunkar dekhta hai, aur na yih jante hain
ki kis ne us ki ankhen kholin; wuh to balig hai; usi se puchho; wuh apna hal
ap kah dega.
Yih us ke man bap ne Yahudion ke dar se kaha: kyunki Yahudi eka kar chuke the,
ki agar koi us ke Masih hone ka iqrar kare, to 'ibadatkhane se kharij kiya
jae.
Is waste us ke man bap ne kaha, ki Wuh balig hai; usi se puchho.
Pas unhon ne us shakhs ko jo andha tha dobara bulakar kaha, ki Khuda ki tamjid
kar: ham to jante hain ki yih admi gunahgar hai.
Us ne jawab diya: Main nahin janta ki wuh gunahgar hai ya nahin: ek bat janta
hun, ki main andha tha, ab bina hun.
Phir unhon ne us se kaha, ki Us ne tere sath kya kiya? kis tarah teri ankhen
kholin?
Us ne unhen jawab diya; Main to tum se kah chuka, aur tum ne na suna; dobara
kyun sunna chahte ho? kya tum bhi us ke shagird hona chahte ho?
Wuh use bura bhala kahkar bole, ki Tu hi us ka shagird hai; ham to Musa ke
shagird hain.
Ham jante hain ki Khuda ne Musa ke sath kalam kiya hai; magar is shakhs ko
nahin jante ki kahan ka hai.
Us admi ne jawab men un se kaha; Yih to ta'ajjub ki bat hai, ki tum nahin
jante ki wuh kahan ka hai, halanki us ne meri ankhen kholin.
Ham jante hain ki Khuda gunahgaron ki nahin sunta; lekin agar koi khudaparast
ho, aur us ki marzi par chale, to wuh us ki sunta hai.
Dunya ke shuru' se kabhi sunne men nahin aya, ki kisi ne janam ke andhe ki
ankhen kholi hon.
Agar yih shakhs Khuda ki taraf se na hota, to kuchh na kar sakta.
Unhon ne jawab men us se kaha; Tu to bi'lkull gunahon men paida hua, tu ham ko
kya sikhata hai? aur unhon ne use bahar nikal diya.
Yisu' ne suna ki unhon ne use bahar nikal diya; aur jab us se mila, to kaha;
Kya tu Khuda ke Bete par iman lata hai?
Us ne jawab men kaha; Ai Khudawand, wuh kaun hai, ki main us par iman laun?
Yisu' ne us se kaha; Tu ne to use dekha hai; aur jo tujh se baten karta hai
wuhi hai.
Us ne kaha; Ai Khudawand, main iman lata hun: aur use sijda kiya.
Yisu' ne kaha; Main dunya men 'adalat ke liye aya hun, taki jo nahin dekhte
wuh dekhen, aur jo dekhte hain wuh andhe ho jaen.
Jo Farisi us ke sath the, unhon ne yih baten sunkar us se kaha; Kya ham bhi
andhe hain?
Yisu' ne un se kaha, ki Agar tum andhe hote, to gunahgar na thahrte: magar ab
kahte ho, ki Ham dekhte hain; pas tumhara gunah qaim rahta hai.
/10 Main tum se sach sach kahta hun, ki Jo koi darwaze se bherkhane men dakhil
nahin hota, balki aur kisi taraf se charh jata hai, wuh chor aur daku hai.
Lekin jo darwaze se dakhil hota hai, wuh bheron ka charwaha hai. Use ke liye
darban darwaza khol deta hai; aur bheren us ki awaz sunti hain: aur wuh apni
bheron ko nam ba nam bulakar bahar le jata hai. Jab wuh apni sab bheron ko
bahar nikal chukta hai, to un ke age age chalta hai, aur bheren us ke pichhe
pichhe ho leti hain; kyunki wuh us ki awaz pahchanti hain. Magar wuh gair
shakhs ke pichhe na jaengi, balki us se bhagengi; kyunki gairon ki awaz nahin
pahchantin. Yisu' ne un se yih tamsil kahi: lekin wuh na samjhe ki yih kya
baten hain jo ham se kahta hai. Pas Yisu' ne un se phir kaha; Main tum se sach
sach kahta hun, ki Bheron ka darwaza main hun. Jitne mujh se pahle ae, sab
chor aur daku hain; magar bheron ne un ki na suni. Darwaza main hun: agar koi
mujh se dakhil ho, to najat paega, aur andar bahar aya jaya karega, aur chara
paega. Chor nahin ata, magar churane aur mar dalne aur halak karne ko. Main is
liye aya ki wuh zindagi paen, aur kasrat se paen. Achchha charwaha main hun:
achchha charwaha bheron ke liye apni jan deta hai. Mazdur jo na charwaha hai,
na bheron ka malik, bheriye ko ate dekhar bheron ko chhorke bhag jata hai, aur
bheriya un ko pakarta aur paraganda karta hai. Wuh is liye bhag jata hai, ki
mazdur hai, aur us ko bheron ki fikr nahin. Achchha charwaha main hun; jis
tarah Bap mujhe janta hai, aur main Bap ko janta hun, isi tarah main apni
bheron ko janta hun, aur meri bheren mujhe janti hain; aur main bheron ke liye
apni jan deta hun. Aur meri aur bhi bheren hain, jo is bherkhane ki nahin.
Mujhe un ka bhi lana zarur hai; aur wuh meri awaz sunengi; phir ek hi galla
aur ek hi charwaha hoga. Bap mujh se is liye mahabbat rakhta hai, ki main apni
jan deta hun taki use phir le lun. Koi use mujh se chhinta nahin, balki main
use ap hi deta hun. Mujhe us ke dene ka bhi ikhtiyar hai, aur us ke phir lene
ka bhi ikhtiyar hai. Yih hukm mere Bap se mujhe mila. In baton ke sabab
Yahudion men phir ikhtilaf hua. Un men se bahutere to kahne lage, ki Us men
badruh hai, aur wuh diwana hai; tum us ki kyun sunte ho? Auron ne kaha; Yih
aise shakhs ki baten nahin jis men badruh ho. Kya badruh andhon ki ankhen khol
sakti hai? Yarushalem men 'I'd i Tajdid hui; aur jare ka mausim tha: aur Yisu'
haikal ke andar Sulaimani baramade men tahal raha tha. Pas Yahudion ne us ke
gird jama' hokar us se kaha; Tu kab tak hamare dil ko danwadol rakkhega? agar
tu Masih hai, to ham se saf kah de. Yisu' ne unhen jawab diya, ki Main ne to
tum se kah diya, magar tum yaqin nahin karte; jo kam main apne Bap ke nam se
karta hun, wuhi mere gawah hain. Lekin tum is liye yaqin nahin karte, ki meri
bheron men se nahin ho. Meri bheren meri awaz sunti hain, aur main unhen janta
hun, aur wuh mere pichhe pichhe chalti hain: aur main unhen hamesha ki zindagi
bakhshta hun; aur wuh abad tak kabhi halak na hongi, aur koi unhen mere hath
se chhin na lega. Mera Bap, jis ne mujhe wuh di hain, sab se bara hai; aur koi
unhen Bap ke hath se nahin chhin sakta. Main aur Bap ek hain. Yahudion ne use
sangsar karne ke liye phir patthar uthae. Yisu' ne unhen jawab diya, ki Main
ne tum ko Bap ki taraf se bahutere achchhe kam dikhae hain; un men se kis kam
ke sabab mujhe sangsar karte ho? Yahudion ne use jawab diya, ki Achchhe kam ke
sabab nahin, balki kufr ke sabab tujhe sangsar karte hain, aur is liye ki tu
admi hokar apne ap ko Khuda banata hai. Yisu' ne unhen jawab diya; Kya tumhari
shari'at men yih nahin likha hai ki Main ne kaha; Tum khuda ho? Jab ki us ne
unhen khuda kaha, jin ke pas Khuda ka kalam aya, (aur kitab i muqaddas ka
batil hona mumkin nahin;) aya tum us shakhs se jise Bap ne muqaddas karke
dunya men bheja, kahte ho ki Tu kufr bakta hai, is liye ki main ne kaha; Main
Khuda ka Beta hun? Agar main apne Bap ke kam nahin karta, to mera yaqin na
karo. Lekin agar main karta hun, to go mera yaqin na karo, magar un kamon ka
to yaqin karo; taki tum jano aur samjho ki Bap mujh men hai, aur main Bap men.
Unhon ne phir us ke pakarne ki koshish ki, lekin wuh un ke hath se nikal gaya.
Wuh phir Yardan ke par us jagah chala gaya, jahan Yuhanna pahle baptisma diya
karta tha, aur wahin raha. Aur bahutere us ke pas ae; aur kahte the, ki
Yuhanna ne koi mu'jiza nahin dikhaya; magar jo kuchh Yuhanna ne is ke haqq men
kaha tha, wuh sach tha. Aur wahan bahutere us par iman lae. 
/11 Maryam aur us ki bahin Martha ke ganw Bait'aniyyah ka Lazar nam ek admi
bimar tha. Yih wuhi Maryam thi, jis ne Khudawand par 'itr dalkar apne balon se
us ke panw ponchhe; isi ka bhai La'zar bimar tha. Pas us ki bahinon ne use
yih kahla bheja, ki Ai Khudawand, dekh, jise tu 'aziz rakhta hai, wuh bimar
hai. Yisu' ne sunkar kaha, ki Yih bimari maut ki nahin, balki Khuda ke jalal
ke liye hai, taki us ke wasile se Khuda ke Bete ka jalal zahir ho. Aur Yisu'
Martha aur us ki bahin aur La'zar se mahabbat rakhta tha. Pas jab us ne suna
ki wuh bimar hai, to jis jagah tha, wahin do din aur raha; phir is ke ba'd
shagirdon se kaha, A'o, phir Yahudiya ko chalen. Shagirdon ne us se kaha; Ai
Rabbi, abhi to Yahudi tujhe sangsar karna chahte the, aur tu phir wahan jata
hai? Yisu' ne jawab diya; Kya din ke barah ghante nahin hote? Agar koi din ko
chale, to thokar nahin khata, kyunki wuh dunya ki raushni dekhta hai. Lekin
agar koi rat ko chale, to thokar khata hai, kyunki us men raushni nahin. Us ne
yih baten kahin, aur is ke ba'd un se kahne laga, ki Hamara dost La'zar so
gaya hai, lekin main use jagane jata hun. Pas shagirdon ne us se kaha; Ai
Khudawand, agar so gaya hai, to bach jaega. Yisu' ne to us ki maut ki babat
kaha tha; magar wuh samjhe ki aram ki nind ki babat kaha. Tab Yisu' ne un se
saf kah diya, ki La'zar mar gaya. Aur main tumhare sabab se khush hun ki wahan
na tha, taki tum iman lao; lekin ao, ham us ke pas chalen. Pas Toma ne, jise
Tauam kahte the, apne sath ke shagirdon se kaha, ki A'o, ham bhi chalen taki
us ke sath maren. Pas Yisu' ko akar ma'lum hua, ki use qabr men rakkhe char
din hue. Bait'aniyyah Yarushalem ke nazdik, koi do mil ke fasile par tha. Aur
bahut se Yahudi Martha aur Maryam ko bhai ke bare men tasalli dene ae the. Pas
Martha Yisu' ke ane ki khabar sunkar us se milne ko gayi: lekin Maryam ghar
men baithi rahi. Martha ne Yisu' se kaha, ki Ai Khudawand, agar tu yahan hota,
to mera bhai na marta. Aur ab bhi main janti hun, ki jo kuchh tu Khuda se
mangega, wuh tujhe dega. Yisu' ne us se kaha; Tera bhai ji uthega. Martha ne
us se kaha; Main janti hun, ki qiyamat men akhiri din ji uthega. Yisu' ne us
se kaha; Qiyamat aur zindagi to main hun: jo mujh par iman lata hai, go wuh
mar jae, taubhi zinda rahega: aur jo koi zinda hai aur mujh par iman lata hai,
wuh abad tak kabhi na marega. Kya tu is par iman rakhti hai? Us ne us se kaha;
Han, ai Khudawand; main iman la chuki hun, ki Khuda ka Beta Masih, jo dunya
men anewala tha, tu hi hai. Yih kahkar wuh chali gayi, aur chupke se apni
bahin Maryam ko bulakar kaha, ki Ustad yahin hai, aur tujhe bulata hai. Wuh
sunte hi jald uthkar us ke pas ai. (Yisu' abhi ganw men nahin pahuncha tha,
balki usi jagah tha jahan Martha use mili thi.) Pas jo Yahudi ghar men us ke
pas the, aur use tasalli de rahe the, yih dekhkar ki Maryam jald uthke bahar
gayi, is khayal se us ke pichhe ho liye ki wuh qabr par rone jati hai. Jab
Maryam us jagah pahunchi jahan Yisu' tha, aur use dekha, to us ke qadamon par
girke us se kaha; Ai Khudawand, agar tu yahan hota, to mera bhai na marta. Jab
Yisu' ne use aur un Yahudion ko jo us ke sath ae the rote dekha, to dil men
nihayat ranjida hua, aur ghabrakar kaha; Tum ne use kahan rakkha hai? Unhon ne
kaha; Ai Khudawand, chalkar dekh le. Yisu' ke ansu bahne lage. Pas Yahudion ne
kaha; Dekho, wuh is ko kaisa 'aziz tha. Lekin un men se ba'z ne kaha; Kya yih
shakhs, jis ne andhe ki ankhen kholin, itna na kar saka ki yih admi na marta?
Yisu' phir apne dil men nihayat ranjida hokar qabr par aya. Wuh ek gar tha,
aur us par patthar dhara tha. Yisu' ne kaha, ki Patthar uthao. Us mare hue
shakhs ki bahin Martha ne us se kaha; Ai Khudawand, us men se to ab badbu ati
hai, kyunki use char din ho gaye. Yisu' ne us se kaha; Kya main ne tujh se
kaha na tha, ki Agar tu iman laegi, to Khuda ka jalal dekhegi. Pas unhon ne us
patthar ko uthaya. Phir Yisu' ne ankhen uthakar kaha; Ai Bap, main tera shukr
karta hun ki tu ne meri sun li. Aur mujhe to ma'lum tha ki tu hamesha meri
sunta hai: magar in logon ke ba'is jo as pas khare hain main ne yih kaha, taki
wuh iman laen ki tu hi ne mujhe bheja hai. Aur yih kahkar us ne baland awaz se
pukara, ki Ai La'zar, nikal a. Jo mar gaya tha wuh kafan se hath panw bandhe
hue nikal aya; aur us ka chihra rumal se lipta hua tha. Yisu' ne un se kaha;
Use kholkar jane do. Pas bahutere Yahudi jo Maryam ke pas ae the, aur jinhon
ne Yisu' ka yih kam dekha tha, us par iman le ae. Magar un men se ba'z ne
Farision ke pas jakar unhen Yisu' ke kamon ki khabar di. Pas sardar kahinon
aur Farision ne sadr 'adalat ke logon ko jama' karke kaha, Ham karte kya hain?
yih admi to bahut mu'jize dikhata hai. Agar ham use yun hi chhor den, to sab
us par iman le aenge, aur Romi akar hamari jagah aur qaum donon par qabza kar
lenge. Aur un men se Kaifa nam ek shakhs ne, jo us sal sardar kahin tha, un se
kaha; Tum kuchh nahin jante, aur na sochte ho ki tumhare liye yihi bihtar hai,
ki ek admi ummat ke waste mare, na ki sari qaum halak ho. Magar us ne yih apni
taraf se nahin kaha, balki us sal sardar kahin hokar nubuwwat ki, ki Yisu' us
qaum ke waste marega; aur na sirf us qaum ke waste, balki is waste bhi ki
Khuda ke paraganda farzandon ko jama' karke ek kar de. Pas wuh usi roz se us
ke qatl karne ka mashwara karne lage. Pas us waqt se Yisu' Yahudion men
'alaniya nahin phira, balki wahan se jangal ke nazdik ke 'ilaqe men Ifraim nam
ek shahr ko chala gaya, aur apne shagirdon ke sath wahin rahne laga. Aur
Yahudion ki 'I'd i Fasah nazdik thi, aur bahut log Fasah se pahle dihat se
Yarushalem ko gaye, taki apne ap ko pak karen. Pas wuh Yisu' ko dhundhne, aur
haikal men khare hokar apas men kahne lage, ki Tumhara kya khayal hai? kya wuh
'id men nahin aega? Aur sardar kahinon aur Farision ne hukm de rakkha tha, ki
agar kisi ko khabar ho, ki wuh kahan hai, to ittila' de, taki use pakar len. 
/12 Phir Yisu' Fasah se chha roz pahle Bait'aniyyah men aya, jahan La'zar tha,
jise Yisu' ne murdon men se jilaya tha.
Wahan unhon ne us ke waste sham ka khana taiyar kiya; aur Martha khidmat karti
thi, magar La'zar un men se tha jo us ke sath khana khane baithe the. Phir
Maryam ne jatamasi ka adh ser khalis aur beshqimat 'itr lekar Yisu' ke panwon
par dala, aur apne balon se us ke panw ponchhe, aur ghar 'itr ki khushbu se
mahak gaya. Magar us ke shagirdon men se ek shakhs Yahudah Iskariyoti, jo use
pakarwane ko tha, kahne laga; Yih 'itr tin sau dinar men bechkar garibon ko
kyun na diya gaya? Us ne yih is liye na kaha ki us ko garibon ki fikr thi,
balki is liye ki chor tha, aur chunki us ke pas un ki thaili rahti thi, us men
jo kuchh parta wuh nikal leta tha. Pas Yisu' ne kaha, ki Use yih 'itr mere
dafn ke din ke liye rakhne de; kyunki garib gurba to hamesha tumhare pas hain;
lekin main hamesha tumhare pas na rahunga. Pas Yahudion men se 'awamm yih
ma'lum karke ki wuh wahan hai, na sirf Yisu' ke sabab se ae, balki is liye bhi
ki La'zar ko dekhen, jise us ne murdon men se jilaya tha. Lekin sardar kahinon
ne mashwara kiya, ki La'zar ko bhi mar dalen; kyunki us ke ba'is bahut se
Yahudi chale gaye aur Yisu' par iman lae. Dusre din bahut se logon ne jo 'id
men ae the, yih sunkar ki Yisu' Yarushalem men ata hai, khajur ki daliyan lin,
aur us ke istiqbal ko nikalkar pukarne lage, ki Hosha'na! mubarak hai wuh jo
Khudawand ke nam par ata hai, aur Israil ka badshah hai. Jab Yisu' ko gadhe ka
bachcha mila, to us par sawar hua; jaisa ki likha hai, ki Ai Siyyon ki beti,
na dar: dekh, tera badshah gadhe ke bachche par sawar hua ata hai. Us ke
shagird pahle to yih baten na samjhe; lekin jab Yisu' apne jalal ko pahuncha,
to un ko yad aya ki yih baten us ke haqq men likhi hui thin, aur logon ne us
ke sath yih suluk kiya tha. Pas un logon ne gawahi di, jo us waqt us ke sath
the, jab us ne La'zar ko qabr se bahar bulakar murdon men se jilaya tha. Isi
sabab se log us ke istiqbal ko nikle, ki unhon ne suna tha ki us ne yih
mu'jiza dikhaya hai. Pas Farision ne apas men kaha; Socho to ki tum se kuchh
nahin ban parta. Dekho, jahan us ka pairau ho chala. Jo log 'id men parastish
karne ae the, un men ba'z Yunani the. Pas unhon ne Filippus ke pas, jo
Baitsaida e Galil ke tha, akar us se darkhwast ki, ki Janab, ham Yisu' ko
dekhna chahte hain. Filippus ne akar Andriyas se kaha; phir Andriyas aur
Filippus ne akar Yisu' ko khabar di. Yisu' nr jawab men un se kaha: Wuh waqt a
gaya, ki Ibn i A'dam jalal pae. Main tum se sach sach kahta hun, ki Jab tak
gehun ka dana zamin men girke mar nahin jata, akela rahta hai; lekin jab mar
jata hai, to bahut sa phal lata hai. Jo apni jan ko 'aziz rakhta hai, wuh use
kho deta hai; aur jo dunya men apni jan se 'adawat rakhta hai, wuh use hamesha
ki zindagi ke liye mahfuz rakkhega. Agar koi shakhs meri khidmat kare, to mere
pichhe ho le; aur jahan main hun, wahan mera khadim bhi hoga; agar koi meri
khidmat kare, to Bap us ki 'izzat karega. Ab meri jan ghabrati hai; pas main
kya kahun? Ai Bap, mujhe is ghari se bacha. Lekin main isi sabab se to is
ghari ko pahuncha hun. Ai Bap, apne nam ko jalal de. Pas asmanse awaz ai, ki
Main ne us ko jalal diya hai, aur phir bhi dunga. Jo log khare sun rahe the,
unhon ne kaha, ki Badal garja: auron ne kaha, ki Firishta us se bola. Yisu' ne
jawab men kaha, ki Yih awaz mere liye nahin, balki tumhare liye ai hai. Ab
dunya ki 'adalat ki jati hai; ab dunya ka sardar nikal diya jaega. Aur main
agar zamin se unche par charhaya jaunga, to sab ko apne pas khenchunga. Us ne
is bat se ishara kiya, ki main kis maut se marne ko hun. Logon ne us ko jawab
diya, ki Ham ne shari'at ki yih bat suni hai, ki Masih abad tak rahega; phir
tu kyunkar kahta hai, ki Ibn i A'dam ka unche par charhaya jana zarur hai? Yih
Ibn i A'dam kaun hai? Pas Yisu' ne un se kaha, ki Aur thore dinon nur tumhare
darmiyan hai. Jab tak nur tumhare sath hai, chale chalo, aisa na ho ki tariki
tumhen a pakre; aur jo tariki men chalta hai, wuh nahin janta ki kidhar jata
hai. Jab tak nur tumhare sath hai, nur par iman lao, taki nur ke farzand bano.
Yisu' yih baten kahkar chala gaya, aur un se apne ap ko chhipaya. Aur agarchi
us ne un ke samne itne mu'jize dikhae, taubhi wuh us par iman na lae: taki
Yasha'yah nabi ka kalam pura ho, jo us ne kaha, ki Ai Khudawand, hamare paigam
ka kis ne yaqin kiya hai? Aur Khudawand ka hath kis par zahir hua hai? Is
sabab se wuh iman na la sake, ki Yasha'yah ne phir kaha; Us ne un ki ankhon ko
andha, aur un ke dil ko sakht kar diya; Aisa na ho ki wuh ankhon se dekhen,
aur dil se samjhen, Aur ruju' karen, Aur main unhen shifa bakhshun. Yasha'yah
ne yih baten is liye kahin, ki us ka jalal dekha; aur us ne usi ke bare men
kalam kiya. Taham sardaron men se bhi bahutere us par iman lae; magar Farision
ke sabab iqrar na karte the, aisa na ho ki 'ibadatkhane se kharij kiye jaen:
kyunki wuh Khuda se 'izzat hasil karne ki nisbat insan se 'izzat hasil karni
ziyada chahte the. Yisu' ne pukarke kaha, ki Jo mujh par iman lata hai, wuh
mujh par nahin, balki mere bhejnewale par iman lata hai. Aur jo mujhe dekhta
hai, wuh mere bhejnewale ko dekhta hai. Main nur hokar dunya men aya hun, taki
jo koi mujh par iman lae andhere men na rahe. Agar koi meri baten sunkar un
par 'amal na kare, to main us ko mujrim nahin thahrata; kyunki main dunya ko
mujrim thahrane nahin, balki dunya ko najat dene aya hun. Jo mujhe nahin
manta, aur meri baton ko qubul nahin karta, us ka ek mujrim thahranewala hai,
ya'ni jo kalam main ne kiya hai, akhiri din wuhi use mujrim thahraega. Kyunki
main ne kuchh apni taraf se nahin kaha, balki Bap jis ne mujhe bheja, usi ne
mujh ko hukm diya hai, ki kya kahun, aur kya bolun. Aur main janta hun ki us
ka hukm hamesha ki zindagi hai. Pas jo kuchh main kahta hun, jis tarah Bap ne
mujh se farmaya hai, usi tarah kahta hun. 
/13 'I'd i Fasah se pahle, jab Yisu' ne jan liya ki mera wuh waqt a pahuncha,
ki dunya se rukhsat hokar Bap ke pas jaun, to apne un logon se jo dunya men
the jaisi mahabbat rakhta tha, akhir tak mahabbat rakhta raha. 
Aur jab Iblis Shama'un ke bete Yahudah Iskariyoti ke dil men dal chuka tha ki
use pakarwae, to sham ka khana khate waqt. Yisu' ne yih jankar, ki Bap ne sab
chizen mere hath men kar di hain, aur main Khuda ke pas se aya, aur Khuda hi
ke pas jata hun, dastarkhwan se uthkar kapre utare, aur rumal lekar apni kamar
men bandha. Is ke ba'd bartan men pani dalkar, shagirdon ke panw dhone, aur jo
rumal kamar men bandha tha, us se ponchhne shuru' kiye. Phir wuh Shama'un
Patras tak pahuncha. Us ne us se kaha; Ai Khudawand, kya tu mere panw dhota
hai? Yisu' ne jawab men us se kaha, ki Jo main karta hun, tu ab nahin janta,
magar ba'd men samjhega. Patras ne us se kaha, ki Tu mere panw abad tak kabhi
dhone na paega. Yisu' ne use jawab diya, ki Agar main tujhe na dhoun, to tu
mere sath sharik nahin. Shama'un Patras ne us se kaha; Ai Khudawand, sirf mere
panw hi nahin, balki hath aur sir bhi dho de. Yisu' ne us se kaha; Jo naha
chuka hai, us ko panw ke siwa aur kuchh dhone ki hajat nahin, balki sarasar
pak hai, aur tum pak lo, lekin sab ke sab nahin. Chunki wuh apne pakarwanewale
ko janta tha, is liye us ne kaha, ki Tum sab pak nahin ho. Pas jab wuh un ke
panw dho chuka, aur apne kapre pahinkar phir baith gaya, to un se kaha; Kya
tum jante ho ki main ne tumhare sath kya kiya? Tum mujhe Ustad aur Khudawand
kahte ho, aur khub kahte ho, kyunki main hun. Pas jab mujh Khudawand aur Ustad
ne tumhare panw dhoe, to tum par bhi farz hai, ki ek dusre ke panw dhoya karo;
kyunki main ne tum ko ek namuna dikhaya hai, ki jaisa main ne tumhare sath
kiya hai, tum bhi kiya karo. Main tum se sach sach kahta hun, ki Naukar apne
malik se bara nahin hota, aur na bheja hua apne bhejnewale se. Agar tum in
baton ko jante ho, to mubarak ho, basharte ki un par 'amal bhi karo. Main tum
sab ki babat nahin kahta, jin ko main ne chuna, unhen main janta hun; lekin
yih is liye hai ki yih nawishta pura ho, ki Jo meri roti khata hai, us ne mujh
par lat uthal. Ab main us ke hone se pahle tum ko jatae deta hun, taki jab ho
jae, to tum iman lao ki main wuhi hun. Main tum se sach sach kahta hun, ki Jo
mere bheje hue ko qubul karta hai, wuh mujhe qubul karta hai; aur jo mujhe
qubul karta hai, wuh mere bhejnewale ko qubul karta hai. Yih baten kahkar
Yisu' apne dil men ghabraya, aur yih gawahi di, ki Main tum se sach sach kahta
hun, ki tum men se ek shakhs mujhe pakarwaega. Shagird shubha karke ki wuh kis
ki nisbat kahta hai, ek dusre ko dekhne lage. Us ke shagirdon men se ek
shakhs, jis se Yisu' mahabbat rakhta tha, Yisu' ke sine ki taraf jhuka hua
khana khane baitha tha. Pas Shama'un Patras ne us se ishara karke kaha, ki
Bata to, wuh kis ki nisbat kahta hai. Us ne usi tarah Yisu' ki chhati ka
sahara lekar kaha, ki Ai Khudawand wuh kaun hai? Yisu' ne jawab diya, ki Jise
main nawala duboke de dunga, wuhi hai. Phir us ne nawala duboya, aur leke
Shama'un Iskariyoti ke bete Yahudah ko de diya; aur is nawale ke ba'd Shaitan
us men sama gaya. Pas Yisu' ne us se kaha, ki Jo kuchh tu karta hai, jald kar
le. Magar jo khana khane baithe the, un men se kisi ko ma'lum na hua, ki us ne
yih us se kis liye kaha. Chunki Yahudah ke pas thaili rahti thi, is liye ba'z
ne samjha, ki Yisu' us se yih kahta hai, ki Jo kuchh hamen 'id ke liye darkar
hai kharid le; ya yih, ki muhtajon ko kuchh de. Pas wuh nawala lekar fi'lfaur
bahar chala gaya, aur rat ka waqt tha. Jab wuh bahar chala gaya, to Yisu' ne
kaha, ki Ab Ibn i A'dam ne jalal paya, aur Khuda ne us men jalal paya; aur
Khuda bhi use apne men jalal dega, balki use fi'lfaur jalal dega.  Ai bachcho,
main aur thori der tumhare sath hun. Tum mujhe dhundhoge, aur jaisa main ne
Yahudion se kaha, ki Jahan main jata hun tum nahin a sakte, waisa hi ab tum se
bhi kahta hun. Main tumhen ek naya hukm deta hun, ki ek dusre se mahabbat
rakkho; ki jaise main ne tum se mahabbat rakkhi, tum bhi ek dusre se mahabbat
rakkho. Agar apas men mahabbat rakkhoge, to is se sab janenge ki tum mere
shagird ho. Shama'un Patras ne us se kaha; Ai Khudawand, tu kahan jata hai?
Yisu' ne jawab diya ki Jahan main jata hun, ab to tu mere pichhe a nahin
sakta; magar ba'd men mere pichhe aega. Patras ne us se kaha; Ai Khudawand,
main tere pichhe ab kyun nahin a sakta? main to tere liye apni jan dunga.
Yisu' ne jawab diya; Kya tu mere liye apni jan dega? Main tujh se sach sach
kahta hun, ki murg bang na dega, jab tak ki tu tin bar mera inkar na kar lega.
/14 Tumhara dil na ghabrae; tum Khuda par iman rakhte ho, mujh par bhi iman
rakkho. Mere Bap ke ghar men bahut se makan hain; agar na hote, to main tum se
kah deta; kyunki main jata hun, taki tumhare liye jagah taiyar karun. Aur agar
main jakar tumhare liye jagah taiyar karun, to phir akar tumhen apne sath le
lunga, taki jahan main hun, tum bhi ho. Aur jahan main jata hun, tum wahan ki
rah jante ho. Toma ne us se kaha; Ai Khudawand, ham nahin jante ki tu kahan
jata hai; phir rah kis tarah janen? Yisu' ne us se kaha, ki Rah, aur Haqq, aur
Zindagi main hun; koi mere wasile ke bagair Bap ke pas nahin ata. Agar tum ne
mujhe jana hota, to mere Bap ko bhi jante; ab use jante ho, aur dekh liya hai.
Filippus ne us se kaha; Ai Khudawand, Bap ko hamen dikha; yihi hamen kafi hai.
Yisu' ne us se kaha; Ai Filippus, main itni muddat se tumhare sath hun; kya tu
mujhe nahin janta? Jis ne mujhe dekha, us ne Bap ko dekha; tu kyunkar kahta
hai, ki Bap ko hamen dikha? Kya tu yaqin nahin karta, ki main Bap men hun, aur
Bap mujh men hai? Yih baten jo main tum se kahta hun, apni taraf se nahin
kahta: lekin Bap mujh men rahkar apne kam karta hai. Mera yaqin karo, ki main
Bap men hun, aur Bap mujh men; nahin to mere kamon hi ke sabab mera yaqin
karo. Main tum se sach sach kahta hun, ki Jo mujh par iman rakhta hai, yih kam
jo main karta hun, wuh bhi karega; balki in se bhi bare kam karega; kyunki
main Bap ke pas jata hun. Aur jo kuchh tum mere nam se chahoge, main wuhi
karunga, taki Bap Bete men jalal pae. Agar mere nam se mujh se kuchh chahoge,
to main wuhi karunga. Agar tum mujh se mahabbat rakhte ho, to mere hukmon par
'amal karoge; aur main Bap se darkhwast karunga, to wuh tumhen dusra Madadgar
bakhshega, ki abad tak tumhare sath rahe, ya'ni sachchai ki Ruh, jise dunya
hasil nahin kar sakti, kyunki na use dekhti, aur na janti hai: tum use jante
ho; kyunki wuh tumhare sath rahti hai, aur tumhare andar hogi. Main tumhen
yatim na chhorunga; main tumhare pas aunga. Thori der baqi hai, ki dunya mujhe
phir na dekhegi; magar tum mujhe dekhte rahoge: chunki main jita hun, tum bhi
jite rahoge. Us roz tum janoge ki main apne Bap men hun, aur tum mujh men, aur
main tum men. Jis ke pas mere hukm hain, aur wuh un par 'amal karta hai, wuhi
mujh se mahabbat rakhta hai; aur jo mujh se mahabbat rakhta hai, wuh mere Bap
ka piyara hoga, aur main us se mahabbat rakkhunga, aur apne ap ko us par zahir
karunga. Us Yahudah ne, jo Iskariyoti na tha, us se kaha; Ai Khudawand, kya
hua, ki tu apne ap ko ham par to zahir kiya chahta hai, magar dunya par nahin?
Yisu' ne jawab men us se kaha, ki Agar koi mujh se mahabbat rakkhe, to wuh
mere kalam par 'amal karega, aur mera Bap us se mahabbat rakkhega, aur ham us
ke pas aenge aur us ke sath sukunat karenge. Jo mujh se mahabbat nahin rakhta,
wuh mere kalam par 'amal nahin karta; aur jo kalam tum sunte ho, wuh mera
nahin, balki Bap ka hai, jis ne mujhe bheja. Main ne yih baten tumhare sath
rahkar tum se kahin. Lekin Madadgar, ya'ni Ruhu'l Quds, jise Bap mere nam se
bhejega, wuhi tumhen sab baten sikhaega, aur jo kuchh main ne tum se kaha hai,
wuh sab tumhen yad dilaega. Main tumhen itminan diye jata hun; apna itminan
tumhen deta hun: jis tarah dunya deti hai, main tumhen us tarah nahin deta.
Tumhara dil na ghabrae aur na dare. Tum sun chuke ho, ki main ne tum se kaha,
ki Jata hun, aur tumhare pas phir ata hun. Agar tum mujh se mahabbat rakhte,
to is bat se, ki main Bap ke pas jata hun, khush hote; kyunki Bap mujh se bara
hai. Aur ab main ne tum se us ke hone se pahle kah diya hai, taki jab ho jae,
to tum yaqin karo. Is ke ba'd main tum se bahut si baten na karunga, kyunki
dunya ka sardar ata hai: aur mujh men us ka kuchh nahin; lekin yih is liye
hota hai ki dunya jane, ki main Bap se mahabbat rakhta hun; aur jis tarah Bap
ne mujhe hukm diya, main waisa hi karta hun. Utho, yahan se chalen.
/15 Angur ka haqiqi darakht main hun, aur mera Bap bagban hai. Jo dali mujh
men hai aur phal nahin lati, use wuh kat dalta hai; aur jo phal lati hai, use
chhantta hai, taki ziyada phal lae. Ab tum us kalam ke sabab, jo main ne tum
se kiya, pak ho. tum mujh men qaim raho, aur main tum men. Jis tarah dali,
agar angur ke darakht men qaim na rahe, to apne ap se phal nahin la sakti; isi
tarah tum bhi agar mujh men qaim na raho, to phal nahin la sakte. Main angur
ka darakht hun, tum daliyan ho; jo mujh men qaim rahta hai, aur main us men,
wuhi bahut phal lata hai; kyunki mujh se juda hokar tum kuchh nahin kar sakte.
Agar koi mujh men qaim na rahe, to wuh dali ki tarah phenk diya jata, aur sukh
jata hai; aur log unhen jama' karke ag men jhonk dete hain, aur wuh jal jati
hain. Agar tum mujh men qaim raho, aur meri baten tum men qaim rahen, to jo
chaho, mango; wuh tumhare liye ho jaega. Mere Bap ka jalal isi se hota hai, ki
tum bahut sa phal lao; jab hi tum mere shagird thahroge. Jaise Bap ne mujh se
mahabbat rakkhi, waise hi main ne tum se mahabbat rakkhi; tum meri mahabbat
men qaim raho. Agar tum mere hukmon par 'amal karoge, to meri mahabbat men
qaim rahoge, jaise main ne apne Bap ke hukmon par 'amal kiya hai, aur us ki
mahabbat men qaim hun. Main ne yih baten is liye tum se kahi hain, ki meri
khushi tum men ho, aur tumhari khushi puri ho jae. Mera hukm yih hai, ki jaise
main ne tum se mahabbat rakkhi, tum bhi ek durse se mahabbat rakkho. Is se
ziyada mahabbat koi shakhs nahin karta, ki apni jan apne doston ke liye de de.
Jo kuchh main tum ko hukm deta hun, agar tum use karo, to mere dost ho. Ab se
main tumhen naukar na kahunga, kyunki naukar nahin janta ki us ka malik kya
karta hai; balki tumhen main ne dost kaha hai, is liye ki jo baten main ne
apne Bap se sunin, wuh sab tum ko bata din. Tum ne mujhe nahin chuna, balki
main ne tumhen chun liya, aur tum ko muqarrar kiya, ki jakar phal lao, aur
tumhara phal qaim rahe; taki mere nam se jo kuchh Bap se mango, wuh tum ko de.
Main tum ko in baton ka hukm is liye deta hun, ki tum ek dusre se mahabbat
rakkho. Agar dunya tum se 'adawat rakhti hai, to tum jante ho ki us ne tum se
pahle mujh se bhi 'adawat rakkhi hai. Agar tum dunya ke hote, to dunya apnon
ko 'aziz rakhti: lekin chunki tum dunya ke nahin, balki main ne tum ko dunya
men se chun liya hai, is waste dunya tum se 'adawat rakhti hai. Jo bat main ne
tum se kahi thi, use yad rakkho, ki naukar apne malik se bara nahin hota. Agar
unhon ne mujhe sataya, to tumhen bhi sataenge; agar unhon ne meri bat par
'amal kiya, to tumhari bat par bhi 'amal karenge. Lekin yih sab kuchh wuh mere
nam ke sabab tumhare sath karenge, kyunki wuh mere bhejnewale ko nahin jante.
Agar main na ata, aur un se kalam na karta, to wuh gunahgar na thahrte: lekin
ab un ke pas un ke gunah ka 'uzr nahin. Jo mujh se 'adawat rakhta hai, wuh
mere Bap se bhi 'adawat rakhta hai. Agar main un men wuh kam na karta, jo kisi
dusre ne nahin kiye, to wuh gunahgar na thahrte: magar ab to unhon ne mujhe
aur mere Bap donon ko dekha, aur donon se 'adawat ki. Lekin yih is liye hua ki
wuh qaul pura ho, jo un ki shari'at men likha hai, ki Unhon ne mujh se muft
'adawat ki. Lekin jab wuh Madadgar aega, jis ko main tumhare pas Bap ki taraf
se bhejunga, ya'ni Sachchai ki Ruh, jo Bap ki taraf se nikalti hai, to wuh
meri gawahi degi: aur tum bhi gawah ho, kyunki shuru' se mere sath ho.
/16 Main ne yih baten tum se is liye kahin ki tum thokar na khao. Log tum ko
'ibadatkhanon se kharij kar denge, balki wuh waqt ata hai ki jo koi tum ko
qatl karega, wuh guman karega ki main Khuda ki khidmat karta hun. Aur wuh is
liye yih karenge, ki unhon ne na Bap ko jana, na mujhe. Lekin main ne yih
baten is liye tum se kahin, ki jab un ka waqt ae, to tum ko yad a jae ki main
ne tum se kah diya tha; aur main ne shuru' men tum se yih baten is liye na
kahin, ki main tumhare sath tha. Magar ab main apne bhejnewale ke pas jata
hun; aur tum men se koi mujh se nahin puchhta, ki Tu kahan jata hai? balki is
liye ki main ne yih baten tum se kahin, tumhara dil gam se bhar gaya. Lekin
main tum se sach kahta hun, ki Mera jana tumhare liye faidamand hai; kyunki
agar main na jaun, to wuh Madadgar tumhare pas na aega; lekin agar jaunga, to
use tumhare pas bhej dunga. Aur wuh akar dunya ko gunah, aur rastbazi, aur
'adalat ke bare men qusurwar thahraega: gunah ke bare men, is liye ki wuh mujh
par iman nahin late; rastbazi ke bare men, is liye ki main Bap ke pas jata
hun, aur tum mujhe phir na dekhoge; 'adalat ke bare men, is liye ki dunya ka
sardar mujrim thahraya gaya hai. Mujhe tum se aur bhi bahut si baten kahni
hain; magar ab tum un ki bardasht nahin kar sakte. Lekin jab wuh, ya'ni
Sachchai ki Ruh, aegi, to tum ko tamam sachchai ki rah dikhaegi: is liye ki
wuh apni taraf se na kahegi; lekin jo kuchh sunegi, wuhi kahegi, aur tumhen
ayanda ki khabaren degi. Wuh mera jalal zahir karegi; is liye ki mujh hi se
hasil karke tumhen khabaren degi. Jo kuchh Bap ka hai, wuh sab mera hai; is
liye main ne kaha, ki wuh mujh hi se hasil karti hai, aur tumhen khabaren
degi. Thori der men tum mujhe na dekhoge; aur phir thori der men mujhe dekh
loge. Pas us ke ba'z shagirdon ne apas men kaha; Yih kya hai jo wuh ham se
kahta hai, ki Thori der men tum mujhe na dekhoge; aur phir thori der men mujhe
dekh loge: aur yih, ki Is liye ki main Bap ke pas jata hun? Pas unhon ne kaha,
ki Thori der jo wuh kahta hai, yih kya bat hai? ham nahin jante ki kya kahta
hai. Yisu' ne, yih jankar ki wuh mujh se suwal karna chahte hain, un se kaha;
Kya tum apas men meri is bat ki nisbat puchh pachh karte ho, ki Thori der men
tum mujhe na dekhoge; aur phir thori der men mujhe dekh loge? Main tum se sach
sach kahta hun, ki Tum to rooge aur matam karoge, magar dunya khush hogi: tum
gamgin to hoge; lekin tumhara gam hi khushi ban jaega. Jab 'aurat janne lagti
hai, to gamgin hoti hai, is liye ki us ke dukh ki ghari a pahunchi; lekin jab
bachcha paida ho chukta hai, to is khushi se ki dunya men ek admi paida hua,
us dard ko phir yad nahin karti. Pas tumhen bhi ab to gam hai; magar main tum
se phir milunga, aur tumhara dil khush hoga, aur tumhari khushi koi tum se
chhin na lega. Us din tum mujh se kuchh na puchhoge. Main tum se sach sach
kahta hun, ki Agar Bap se kuchh mangoge, to mere nam se tum ko dega. Ab tak
tum ne mere nam se kuchh nahin manga: mango, to paoge, taki tumhari khushi
puri ho jae. Main ne yih baten tum se tamsilon men kahin; wuh waqt ata hai ki
phir tum se tamsilon men na kahunga, balki saf saf tumhen Bap ki khabar dunga.
Us din tum mere nam se mangoge: aur main tum se yih nahin kahta, ki Bap se
tumhare liye darkhwast karunga; is liye ki Bap to ap hi tum ko 'aziz rakhta
hai, kyunki tum ne mujh ko 'aziz rakkha hai, aur iman lae ho ki main Bap ki
taraf se nikla. Main Bap men se inkla aur dunya men aya hun; phir dunya se
rukhsat hokar Bap ke pas jata hun. Us ke shagirdon ne kaha; Dekh, ab tu saf
saf kahta hai, aur koi tamsil nahin kahta. Ab ham jan gaye, ki tu sab kuchh
janta hai, aur is ka muhtaj nahin ki koi tujh se puchhe. Is sabab se ham iman
late hai, ki tu Khuda se nikla hai. Yisu' ne unhen jawab diya; Kya tum ab iman
late ho? Dekho wuh ghari ati hai, balki a paunchi, ki tum sab paraganda hokar
apne apne ghar ki rah loge, aur mujhe akela chhor doge; taubhi main akela
nahin hun, kyunki Bap mere sath hai. Main ne tum se yih baten is liye kahin,
ki tum mujh men itminan pao. Dunya men musibat uthate ho; lekin khatir jama'
rakkho; main dunya par galib aya hun.
/17 Yisu' ne yih baten kahin, aur apni ankhen asman ki taraf uthakar kaha, ki
Ai Bap, wuh ghari a pahunchi; apne Bete ka jalal zahir kar, taki Beta tera
jalal zahir kare; chunanchi tu ne use har bashar par ikhtiyar diya hai, taki
jinhen tu ne use bakhsha hai, un sab ko wuh hamesha ki zindagi de. Aur hamesha
ki zindagi yih hai, ki wuh tujh Khuda e wahid aur barhaqq ko, aur Yisu' Masih
ko, jise tu ne bheja hai, janen. Jo kam tu ne mujhe karne ko diya tha, us ko
tamam karke main ne zamin par tera jalal zahir kiya. Aur ab, ai Bap, tu us
jalal se, jo main dunya ki paidaish se peshtar tere sath rakhta tha, mujhe
apne sath jalali bana de. Main ne tere nam ko un admion par zahir kiya, jinhen
tu ne dunya men se mujhe diya. Wuh tere the, aur tu ne unhen mujhe diya; aur
unhon ne tere kalam par 'amal kiya hai. Ab wuh jan gaye ki jo kuchh tu ne
mujhe diya hai, wuh sab teri hi taraf se hai; kyunki jo kalam tu ne mujhe
pahunchaya, wuh main ne un ko pahuncha diya; aur unhon ne us ko qubul kiya aur
sach sach jan liya, ki main teri taraf se nikla hun, aur wuh iman lae, ki tu
hi ne mujhe bheja. Main un ke liye darkhwast karta hun; main dunya ke liya
darkhwast nahin karta, balki un ke liye jinhen tu ne mujhe diya hai; kyunki
wuh tere hain. Aur jo kuchh mera hai, wuh sab tera hai; aur jo tera hai, wuh
mera hai: aur in se mera jalal zahir hua hai. Main age ko dunya men na hungra;
magar yih dunya men hain, aur main tere pas ata hun. Ai quddus Bap, apne us
nam ke wasile se, jo tu ne mujhe bakhsha hai, un ki hifazat kar, taki wuh
hamari tarah ek hon. Jab tak un ke sath raha, main ne tere us nam ke wasile
se, jo tu ne mujhe bakhsha hai, un ki hifazat ki. Main ne un ki nigahbani ki,
aur halakat ke farzand ke siwa, un men se koi halak na hua, taki kitab i
muqaddas ka likha pura ho. Lekin ab main tere pas ata hun, aur yih baten dunya
men kahta hun, taki meri khushi unhen puri puri hasil ho. Main ne tera kalam
unhen pahuncha diya; aur dunya ne un se 'adawat rakkhi, is liye ki jis tarah
main dunya ka nahin, wuh bhi dunya ke nahin. Main yih darkhwast nahin karta,
ki tu unhen dunya se utha le, balki yih ki us Sharir se un ki hifazat kar. Jis
tarah main dunya ka nahin, wuh bhi dunya ke nahin. Unhen sachchai ke wasile se
muqaddas kar: tera kalam sachchai hai. Jis tarah tu ne mujhe dunya men bheja,
usi tarah main ne bhi unhen dunya men bheja. Aur un ki khatir main apne ap ko
muqaddas karta hun, taki wuh bhi sachchai ke wasile se muqaddas kiye jaen.
Main sirf in hi ke liye darkhwast nahin karta, balki un ke liye bhi, jo in ke
kalam ke wasile se mujh par iman laenge, taki wuh sab ek hon, ya'ni jis tarah,
ai Bap, tu mujh men hai, aur main tujh men hun, wuh bhi ham men hon; aur dunya
iman lae, ki tu hi ne mujhe bheja. Aur wuh jalal jo tu ne mujhe diya hai, main
ne unhen diya hai, taki wuh ek hon, jaise ham ek hain; main un men, aur tu
mujh men, taki wuh kamil hokar ek ho jaen, aur dunya jane ki tu hi ne mujhe
bheja, aur jis tarah ki tu ne mujh se mahabbat rakkhi, un se bhi mahabbat
rakkhi. Ai Bap, main chahta hun ki jinhen tu ne mujhe diya hai, jahan main
hun, wuh bhi mere sath hon; taki mere us jalal ko dekhen, jo tu ne mujhe diya
hai: kyunki tu ne bina e 'alam ke peshtar mujh se mahabbat rakkhi. Ai 'adil
Bap, dunya ne to tujhe nahin jana, magar main ne tujhe jana; aur inhon ne bhi
jana, ki tu ne mujhe bheja. Aur main ne unhen tere nam se waqif kiya, aur
karta rahunga; taki jo mahabbat tujh ko mujh se thi, wuh un men ho, aur main
un men hun. 
/18 Yisu' yih baten kahkar, apne shagirdon ke sath Qidron ke nale ke par gaya.
Wahan ek bag tha; us men wuh aur us ke shagird dakhil hue. Aur us ka
pakarwanewala Yahudah bhi us jagah ko janta tha, kyunki Yisu' aksar apne
shagirdon ke sath wahan jaya karta tha. Pas Yahudah sipahion ki paltan aur
sardar kahinon aur Farision se piyade lekar, mash'alon aur chiragon aur
hathyaron ke sath wahan aya. Yisu' un sab baton ko jo us ke sath honewali thin
jankar, bahar nikla, aur un se kahne laga, ki Kise dhundhte ho? Unhon ne use
jawab diya; Yisu' Nasari ko. Yisu'ne un se kaha; Main hi hun. Aur us ka
pakarwanewala Yahudah bhi un ke sath khara tha. Us ke yih kahte hi, ki Main hi
hun, wuh pichhe hatkar zamin par gir pare. Pas us ne un se phir puchha, ki Tum
kise dhundhte ho? Wuh bole, Yisu' Nasari ko. Yisu' ne jawab diya; Main tum se
kah to chuka, ki main hi hun. Pas agar mujhe dhundhte ho, to inhen jane do.
Yih us ne is liye kaha, ki us ka wuh qaul pura ho, ki Jinhen tu ne mujhe diya,
main ne un men se kisi ko bhi na khoya. Pas Shama'un Patras ne talwar jo us ke
pas thi khenchi, aur sardar kahin ke naukar par chalakar us ka dahina kan ura
diya. Us naukar ka nam Malkhus tha. Yisu' ne Patras se kaha; Talwar ko miyan
kar; jo piyala Bap ne mujh ko diya, kya main use na piun? Tab sipahion aur un
ke subadar aur Yahudion ke piyadon ne Yisu' ko pakarkar bandh liya, aur pahle
use Hanna ke pas le gaye; kyunki wuh us baras ke sardar kahin Kaifa ka susra
tha. Yih wuhi Kaifa tha, jis ne Yahudion ko salah di thi, ki ummat ke waste ek
admi ka marna bihtar hai. Aur Shama'un Patras Yisu' ke pichhe ho liya, aur ek
aur shagird bhi. Yih shagird sardar kahin ka janpahchan tha, aur Yisu' ke sath
sardar kahin ke diwankhane men gaya. Lekin Patras darwaze par bahar khara
raha. Pas wuh dusra shagird, jo sardar kahin ka janpahchan tha, bahar nikla,
aur darbanni se kahkar Patras ko andar le gaya. Us laundi ne jo darbanni thi,
Patras se kaha; Kya tu bhi is shakhs ke shagirdon men se hai? Wuh bola, Main
nahin hun. Naukar aur piyade jare ke sabab se koele dahkakar khare tap rahe
the, aur Patras bhi un ke sath khara tap raha tha. Phir sardar kahin ne Yisu'
se us ke shagirdon aur us ki ta'lim ki babat puchha. Yisu' ne use jawab diya,
ki Main ne dunya se 'alaniya baten ki hain. Main ne hamesha 'ibadatkhanon aur
haikal men, jahan sab Yahudi jama' hote hain, ta'lim di, aur poshida kuchh
nahin kaha. Tu mujh se kyun puchhta hai? Sunnewalon se puchh, ki main ne un se
kya kaha; dekh, un ko ma'lum hai ki main ne kya kya kaha. Jab us ne yih kaha,
to piyadon men se ek shakhs ne jo pas khara tha, Yisu' ke tamancha marke kaha;
Tu sardar kahin ko aisa jawab deta hai? Yisu' ne use jawab diya, ki Agar main
ne bura kaha, to us burai par gawahi de: aur agar achchha kaha, to mujhe marta
kyun hai? Pas Hanna ne use bandha hua sardar kahin Kaifa ke pas bhej diya.
Shama'un Patras khara tap raha tha. Pas unhon ne us se kaha; Kya tu bhi us ke
shagirdon men se hai? Us ne inkar karke kaha; Main nahin hun. Jis shakhs ka
Patras ne kan ura diya tha, us ke ek rishtadar ne jo sardar kahin ka naukar
tha kaha; Kya main ne tujhe us ke sath bag men nahin dekha? Patras ne phir
inkar kiya, aur fauran murg ne bang di. Phir wuh Yisu' ko Kaifa ke pas se
qil'e ko le gaye aur subh ka waqt tha, aur wuh khud qil'e men na gaye, taki
napak na hon, balki Fasah kha saken. Pas Pilatus bahar nikalkar un ke pas aya
aur kaha, ki Tum is admi ki kya faryad karte ho? Unhon ne jawab men us se
kaha, ki Agar yih badkar na hota, to ham use tere hawale na karte. Pilatus ne
un se kaha, ki Ise le jakar tum hi apni shari'at ke muwafiq is ka faisala
karo. Yahudion ne us se kaha; Hamen rawa nahin ki kisi ko jan se maren. Yih is
liye hua, ki Yisu' ki wuh bat puri ho, jo us ne apni maut ke tariq ki taraf
ishara karke kahi thi. Pas Pilatus qil'e men phir dakhil hua, aur Yisu' ko
bulakar us se kaha; Kya tu Yahudion ka badshah hai? Yisu' ne jawab diya, ki
Tu yih bat ap se kahta hai, ya auron ne mere haqq men tujh se kahi? Pilatus ne
jawab diya, Kya main Yahudi hun? Teri hi qaum aur sardar kahinon ne tujh ko
mere hawale kiya: tu ne kya kiya hai? Yisu' ne jawab diya, ki Meri badshahat
dunya ki nahin; agar meri badshahat dunya ki hoti, to mere khadim larte, taki
main Yahudion ke hawale na kiya jata. Magar ab meri badshahat yahan ki nahin.
Pilatus ne us se kaha; Pas kya tu badshah hai? Yisu' ne jawab diya; Tu khud
kahta hai, ki main badshah hun. Main is liye paida hua, aur is waste dunya men
aya hun, ki haqq ki gawahi dun. Jo koi sachchai ka hai, meri awaz sunta hai.
Pilatus ne us se kaha, ki Sachchai hai kya? Yih kahkar wuh Yahudion ke pas
phir bahar gaya, aur un se kaha, ki Main us ka kuchh jurm nahin pata. Magar
tumhara dastur hai ki main Fasah ko tumhari khatir ek admi chhor diya karta
hun; pas kya tum ko manzur hai, ki main tumhari khatir Yahudion ke badshah ko
chhor dun? Unhon ne chillakar phir kaha, ki Is ko nahin, lekin Bar Abba ko.
Aur Bar Abba ek daku tha. 
/19 Is par Pilatus ne Yisu' ko lekar kore lagwae. Aur sipahion ne kanton ka
taj banakar us ke sir par rakkha, aur use argawani poshak pahinai; aur us ke
pas a akar kahne lage; Ai Yahudion ke badshah, adab! Aur us ke tamanche bhi
mare. Pilatus ne phir bahar jake logon se kaha, ki Dekho, main use tumhare pas
bahar le ata hun, taki tum jano, ki main us ka kuchh jurm nahin pata. Yisu'
kanton ka taj rakkhe, aur argawani poshak pahine bahar aya, aur Pilatus ne un
se kaha; Dekho yih admi! Jab sardar kahin aur piyadon ne use dekha, to
chillake kaha, ki Salib de! Salib! Pilatus ne un se kaha, ki Tum hi ise le jao
aur salib do, kyunki main is ka kuchh jurm nahin pata. Yahudion ne use jawab
diya, ki Ham ahl i shari'at hain, aur shari'at ke muwafiq wuh qatl ke laiq
hai, kyunki us ne apne ap ko Khuda ka Beta banaya. Jab Pilatus ne yih bat
suni, to aur bhi dara, aur phir qil'e men jakar Yisu' se kaha; Tu kahan ka
hai? Magar Yisu' ne use jawab na diya. Pas Pilatus ne us se kaha; Tu mujh se
bolta nahin? Kya tu nahin janta, ki mujhe tere chhor dene ka bhi ikhtiyar hai,
aur salib dene ka bhi ikhtiyar hai? Yisu' ne use jawab diya, ki Agar tujhe
upar se na diya jata, to tera mujh par kuchh ikhtiyar na hota; is sabab se jis
ne mujhe tere hawale kiya, us ka gunah ziyada hai. Is par Pilatus us ke chhor
dene men koshish karne laga; magar Yahudion ne chillakar kaha; Agar tu is ko
chhore deta hai, to Qaisar ka khairkhwah nahin. Jo koi apne ap ko badshah
banata hai, wuh Qaisar ka mukhalif hai. Pilatus yih baten sunkar Yisu' ko
bahar laya, aur us jagah jo Chabutara aur 'Ibrani men Gabbata kahlati hai,
takht i 'adalat par baitha. Yih Fasah ki taiyari ka din, aur chhate ghante ke
qarib tha. Phir us ne Yahudion se kaha; Dekho, yih hai tumhara badshah. Pas
wuh chillae, ki Le ja, le ja, use salib de! Pilatus ne un se kaha; Kya main
tumhare badshah ko salib dun? Sardar kahinon ne jawab diya, ki Qaisar ke siwa
hamara koi badshah nahin. Is par us ne us ko un ke hawale kiya, taki salib
diya jae. Pas wuh Yisu' ko le gaye, aur wuh apni salib ap uthae hue us jagah
tak bahar gaya, jo Khopri ki jagah kahlati hai, jis ka tarjuma 'Ibrani men
Gulguta hai. Wahan unhon ne us ko, aur us ke sath aur do shakhson ko salib di,
ek ko idhar, ek ko udhar, aur Yisu' ko bich men. Aur Pilatus ne ek kitaba
likhkar salib par laga diya: us men yih likha hua tha; YISU' NASARI YAHUDION
KA BADSHAH. Us kitaba ko bahut se Yahudion ne parha, is liye ki wuh maqam
jahan Yisu' salib diya gaya tha, shahr ke nazdik tha: aur wuh 'Ibrani aur
Latini aur Yunani men likha hua tha. Pas Yahudion ke sardar kahinon ne Pilatus
se kaha, ki Yahudion ka Badshah na likh, balki yih, ki us ne kaha; Main
Yahudion ka Badshah hun. Pilatus ne jawab diya, ki Main ne jo likh diya, wuh
likh diya. Jab sipahi Yisu' ko salib de chuke, to us ke kapre lekar char hisse
kiye, har sipahi ke liye ek hissa, aur us ka kurta bhi liya; yih kurta binsila
sarasar buna hua tha. Is liye unhon ne apas men kaha, ki Ise pharen nahin,
balki us par qu'ra dalen, taki ma'lum ho ki kis ka nikalta hai. Yih is liye
hua ki wuh nawishta pura ho jo kahta hai, ki Unhon ne mere kapre bant liye,
Aur meri poshak par qur'a dala. Chunanchi sipahion ne aisa hi kiya. Aur Yisu'
ki salib ke pas us ki man, aur us ki man ki bahin, Maryam Klopas ki biwi, aur
Maryam Magdalini khari thin. Yisu' ne apni man aur us shagird ko jis se
mahabbat rakhta tha, pas khare dekhkar, man se kaha, ki Ai 'aurat, dekh, tera
beta yih hai. Phir shagird se kaha; Dekh, teri man yih hai: aur usi waqt se
wuh shagird use apne ghar le gaya. Is ke ba'd, jab Yisu' ne jan liya, ki ab
sab baten tamam huin, taki nawishta pura ho, to kaha, ki Main piyasa hun.
Wahan ek sirke se bhara hua bartan rakkha tha. Pas unhon ne sirke men bhigoe
hue isfanj ko zufe ki shakh par rakhkar, us ke munh se lagaya. Pas jab Yisu'
ne wuh sirka piya, to kaha, ki Tamam hua: aur sir jhukakar jan de di. Pas
chunki taiyari ka din tha, Yahudion ne Pilatus se darkhwast ki, ki un ki
tangen tor di jaen, aur lashen utar li jaen, taki Sabt ke din salib par na
rahen; kyunki wuh Sabt ek khass din tha. Pas sipahion ne akar pahle aur dusre
shakhs ki tangen torin, jo us ke sath maslub hue the. Lekin jab unhon ne Yisu'
ke pas akar dekha ki wuh mar chuka hai, to us ki tangen na torin. Magar un men
se ek sipahi ne bhale se us ki pasli chhedi aur fi'lfaur us se khun aur pani
bah nikla. Jis ne yih dekha hai usi ne gawahi di hai, aur us ki gawahi
sachchi hai; aur wuh janta hai ki sach kahta hai, taki tum bhi iman lao. Yih
baten is liye huin ki yih nawishta pura ho, ki Us ki koi haddi na tori jaegi.
Phir ek aur nawishta kahta hai, ki Jise unhon ne chheda, us par nazar karenge.
In baton ke ba'd Aramatiya ke rahnewale Yusuf ne, jo Yisu' ka shagird tha,
(lekin Yahudion ke dar se khufya taur par,) Pilatus se ijazat chahi, ki Yisu'
ki lash le jae. Pilatus ne ijazat di. Pas wuh akar us ki lash le gaya. Aur
Nikudemus bhi aya, jo pahle Yisu' ke pas rat ko gaya tha, aur pachas ser ke
qarib murr aur 'ud mila hua laya. Pas unhon ne Yisu' ki lash lekar use suti
kapre men khushbudar chizon ke sath kafnaya, jis tarah ki Yahudion men dafn
karne ka dastur hai. Aur jis jagah use salib di gayi, wahan ek bag tha, aur us
bag men ek nayi qabr thi, jis men kabhi koi na rakkha gaya tha. Pas unhon ne
Yahudion ki taiyari ke din ke ba'is Yisu' ko wahin rakh diya, kyunki yih qabr
nazdik thi. 
/20 Hafte ke pahle din, Maryam Magdalini aise tarke ki abhi andhera hi tha,
qabr par ai, aur patthar ko qabr se hata hua dekha. Pas wuh Shama'un Patras
aur us dusre shagird ke pas, jise Yisu' 'aziz rakhta tha, dauri hui gayi, aur
un se kaha, ki Khudawand ko qabr se nikal le gaye; aur hamen ma'lum nahin ki
use kahan rakh diya. Pas Patras aur wuh dusra shagird nikalkar qabr ki taraf
chale. Aur donon sath sath daure: magar wuh dusra shagird Patras se age
barhkar qabr par pahle pahuncha. Us ne jhukkar nazar ki aur suti kapre pare
hue dekhe; magar andar na gaya. Shama'un Patras us ke pichhe pichhe pahuncha,
aur us ne qabr ke andar jake dekha, ki suti kapre pare hain, aur wuh rumal jo
us ke sir se bandha hua tha, suti kapron ke sath nahin, balki lipta hua ek
jagah alag para hai. Is par dusra shagird bhi, jo pahle qabr par aya tha,
andar gaya; aur us ne dekhkar yaqin kiya. Kyunki wuh ab tak us nawishte ko na
jante the, jis ke bamujib us ka murdon men se ji uthna zarur tha. Pas yih
shagird apne ghar ko wapas gaye. Lekin Maryam bahar qabr ke pas khari roti
rahi, aur jab rote rote qabr ki taraf jhukke andar nazar ki, to do firishton
ko safed poshak pahine hue, ek ko sirhane aur dusre ko paenti baithe dekha,
jahan Yisu' ki lash pari thi. Unhon ne us se kaha; Ai 'aurat, tu kyun roti
hai? Us ne un se kaha; Is liye ki mere Khudawand ko utha le gaye, aur ma'lum
nahin ki use kahan rakkha. Yih kahkar wuh pichhe phiri, aur Yisu' ko khare
dekha, aur na pahchana ki yih Yisu' hai. Yisu' ne us se kaha, ki Ai 'aurat, tu
kyun roti hai? kis ko dhundhti hai? Us ne bagban samajhkar us se kaha, ki
Miyan, agar tu ne us ko yahan se uthaya ho, to mujhe bata de, ki use kahan
rakkha hai, taki main use le jaun. Yisu' ne us se kaha; Maryam! Wuh phirkar us
se 'Ibrani zaban men boli; Rabbuni! ya'ni Ai ustad! Yisu' ne us se kaha; Mujhe
na chhu; kyunki main ab tak Bap ke pas upar nahin gaya; lekin mere bhaiyon ke
pas jakar un se kah, ki Main apne Bap aur tumhare Bap ke, aur apne Khuda aur
tumhare Khuda ke pas upar jata hun. Maryam Magdalini ne akar shagirdon ko
khabar di, ki Main ne Khudawand ko dekha, aur us ne mujh se yih baten kahin.
Phir usi din jo hafte ka pahla din tha, sham ke waqt, jab wahan ke darwaze
jahan shagird the, Yahudion ke dar se band the, Yisu' akar bich men khara hua,
aur un se kaha, ki Tumhari salamati ho! Aur yih kahkar us ne apne hath aur
pasli unhen dikhai. Pas shagird Khudawand ko dekhkar khush hue. Yisu' ne phir
un se kaha, ki Tumhari salamati ho; jis tarah Bap ne mujhe bheja hai, usi
tarah main bhi tumhen bhejta hun. Aur yih kahkar un par phunka aur un se kaha,
ki Ruhu'l Quds lo. Jin ke gunah tum bakhsho, un ke bakhshe gaye hain; jin ke
gunah tum qaim rakkho, un ke qaim rakkhe gaye hain. Magar un barah men se ek
shakhs, ya'ni Toma, jise Tauam kahte hain, Yisu' ke ane ke waqt un ke sath na
tha. Pas baqi shagird us se kahne lage, ki Ham ne Khudawand ko dekha hai.
Magar us ne un se kaha, ki Jab tak main us ke hathon men mekhon ke surakh na
dekh lun, aur mekhon ke surakhon men apni ungli na dal lun, aur apna hath us
ki pasli men na dal lun, hargiz yaqin na karunga. A'th roz ke ba'd, jab us ke
shagird phir andar the, aur Toma un ke sath tha, aur darwaze band the, to
Yisu' aya, aur bich men khara hokar bola; Tumhari salamati ho. Phir us ne Toma
se kaha, ki Apni ungli pas lakar mere hathon ko dekh, aur apna hath pas lakar
meri pasli men dal, aur bei'tiqad na ho, balki i'tiqad rakh. Toma ne jawab men
us se kaha; Ai mere Khudawand! Ai mere Khuda! Yisu' ne us se kaha; Tu to mujhe
dekhkar iman laya hai; mubarak wuh hain, jo bagair dekhe iman lae. Aur Yisu'
ne aur bahut se mu'jize shagirdon ke samne dikhae, jo is kitab men likhe nahin
gaye; lekin yih is liye likhe gaye, ki tum iman lao, ki Yisu' hi Khuda ka Beta
Masih hai, aur iman lakar us ke nam se zindagi pao. 
/21 In baton ke ba'd Yisu' ne phir apne ap ko Tibiriyas ki jhil ke kanare
shagirdon par zahir kiya, aur is tarah zahir kiya. Shama'un Patras aur Toma
jo Tauam kahlata hai, aur Nathan'el jo Qana e Galil ka tha, aur Zabdi ke bete,
aur us ke shagirdon men se do aur shakhs jama' the. Shama'un Patras ne un se
kaha, ki Main machhli ke shikar ko jata hun. Unhon ne us se kaha; Ham bhi tere
sath chalte hain. Wuh nikalkar kishti par sawar hue, magar us rat kuchh na
pakra. Aur subh hote hi Yisu' kanare par a khara hua; magar shagirdon ne na
pahchana ki yih Yisu' hai. Pas Yisu' ne un se kaha; Bachcho, tumhare pas kuchh
khane ko hai? Unhon ne jawab diya, ki Nahin. Us ne un se kaha, ki Kishti ki
dahini taraf jal dalo, to pakroge. Pas unhon ne dala, aur machhliyon ki kasrat
se phir khench na sake. Is liye us shagird ne jis se Yisu' mahabbat rakhta
tha, Patras se kaha, ki Yih to Khudawand hai. Pas Shama'un Patras ne yih
sunkar, ki Khudawand hai, kurta kamar se bandha, kyunki nanga tha, aur jhil
men kud para. Aur baqi shagird dongi par sawar machhliyon ka jal khenchte hue
ae, kyunki wuh kanare se kuchh dur na the, balki takhminan do sau hath ka
fasila tha. Jis waqt kanare par utre, to unhon ne koelon ki ag, aur us par
machhli rakkhi hui aur roti dekhi. Yisu' ne un se kaha; Jo machhliyan tum ne
abhi pakri hain, un men se kuchh lao. Shama'un Patras ne charhkar ek sau
trepan bari machhliyon se bhara hua jal kanare par khencha; magar bawujud
machhliyon ki kasrat ke jal na phata. Yisu' ne un se kaha; A'o, khana kha lo;
aur shagirdon men se kisi ko jur'at na hui ki us se puchhta, ki Tu kaun hai?
kyunki wuh jante the, ki Khudawand hi hai. Yisu' aya, aur roti lekar unhen di;
isi tarah machhli bhi di. Yisu' murdon men se ji uthne ke ba'd yih tisri bar
shagirdon par zahir hua. Aur jab khana kha chuke, to Yisu' ne Shama'un Patras
se kaha, ki Ai Shama'un, Yuhanna ke bete, kya tu in se ziyada mujh se mahabbat
rakhta hai? Us ne us se kaha; Han, Khudawand; tu to janta hi hai, ki main
tujhe 'aziz rakhta hun. Us ne us se kaha; To mere barre chara. Us ne dobara us
se phir kaha, ki Ai Shama'un, Yuhanna ke bete, kya tu mujh se mahabbat rakhta
hai? Wuh bola; Han, Khudawand, tu to janta hi hai, ki main tujh ko 'aziz
rakhta hun. Us ne us se kaha; To meri bheron ki gallabani kar. Us ne tisri bar
us se kaha, ki Ai Shama'un, Yuhanna ke bete, kya tu mujhe 'aziz rakhta hai?
Chunki us ne tisri bar us se kaha; Kya tu mujhe 'aziz rakhta hai, is sabab se
Patras ne dilgir hokar us se kaha; Ai Khudawand, tu to sab kuchh janta hai;
tujhe ma'lum hi hai, ki main tujhe 'aziz rakhta hun. Yisu' ne us se kaha; To
meri bheren chara. Main tujh se sach sach kahta hun, ki Jab tu jawan tha, to
ap hi apni kamar bandhta tha, aur jahan chahta tha, phirta tha; magar jab tu
burha hoga, to apne hath lambe karega, aur dusra shakhs teri kamar bandhega,
aur jahan tu na chahega, wahan tujhe le jaega. Us ne in baton se ishara kar
diya, ki wuh kis tarah ki maut se Khuda ka jalal zahir karega. Aur yih kahkar
us se kaha, ki Mere pichhe ho le. Patras ne phirkar us shagird ko pichhe ate
dekha, jis se Yisu' mahabbat rakhta tha, aur jis ne sham ke khane ke waqt us
ke sine ka sahara lekar puchha tha, ki Ai Khudawand, tera pakarwanewala kaun
hai? Patras ne use dekhkar Yisu' se kaha; Ai Khudawand, is ka kya hal hoga?
Yisu' ne us se kaha; Agar main chahun, ki yih mere ane tak thahra rahe, to
tujh ko kya? tu mere pichhe ho le. Pas bhaiyon men yih bat mashhur ho gayi, ki
wuh shagird na marega. Lekin Yisu' ne us se yih nahin kaha tha, ki yih na
marega; balki yih, ki Agar main chahun, ki yih mere ane tak thahra rahe, to
tujh ko kya? Yih wuhi shagird hai, jo in baton ki gawahi deta hai aur jis ne
in ko likha hai; aur ham jante hain, ki us ki gawahi sachchi hai. Aur bhi
bahut se kam hain, jo Yisu' ne kiye; agar wuh juda juda likhe jate, to main
samajhta hun, ki jo kitaben likhi jatin, un ke liye dunya men gunjaish na
hoti.